![]() |
Tum ney tootay huay patton ko kabhi dekha hai!
Tum ney tootay huay patton ko kabhi dekha hai! Darakht ke haath say giray huay sookhay pattay! Khaak-aalooda, sitam-raseeda, faryaad-kanaan Hawa ke rahm-o-karm par keh ab lay jaaey jahaan Jin ki zaat mein pasti hai, qismat mein fanaa Bain kartey huay, tarraptey huay, sehmay huay Kisi raah-geer kay qadmon ki dhamak suntay huay Jin ki aankhon mein be'kasi ke siwa kuch bhi nahi Jin ke bas mein be'basi ke siwa kuch bhi nahi Shoq-e-tamaasha hai to kisi roz mujhay milnay aao Tum nay tootay huay patton ko nahi dekha agar!!! Tum nay thehrey huay pani ko kabhi dekha hai! Kisi sookhti hui jheel mein be'jaan sa thehra paani! Jis ke qatron mein haraarat ki koi ramaq bhi nahi Jis ki lehron mein zindagi ki koi chamak bhi nahi Jheel ki goad mein simat'ta hua gadla paani, Wohi chamakta hua, shafaaf sa pyara paani Jo kabhi mashkeeza-e-abr kay labon say chalka tha Aaj haqaarat say taktey hein usey guzarney waaley Shoq-e-tamaasha hai to kisi roz mujhay milnay aao Tum nay tootay huay patton ko nahi dekha agar!!! Tum nay uljhay huay dhaagon ko kabhi dekha hai! Apnay hi aap mein uljhey huay kacchey dhaagay! Jo apnay aap mein hi reh gaey hon gunjal ban kar Apnay wajood ki gehraaiyon mein ik uljhan ban kar Tarha tarha say uljhay, jagaa jagaa say kharaab Jo agar chaahein bhi keh sanwaar lein muqaddar apna To apni hi zaat ka sira dhoondh dhoondh ke thak jaaein Wohi rangeen say dhaagay jo kabhi thay misl-e-dhanak Aaj apney aap mein yun uljhey hein ke sulajhtay hi nahi Shoq-e-tamaasha hai to kisi roz mujhay milnay aao Tum nay tootay huay patton ko nahi dekha agar!!! |
Re: Tum ney tootay huay patton ko kabhi dekha hai!
v nice sis
|
Re: Tum ney tootay huay patton ko kabhi dekha hai!
superb
|
Re: Tum ney tootay huay patton ko kabhi dekha hai!
thanx all
|
All times are GMT +5. The time now is 06:46 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.