MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Hadees Shareef (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=15)
-   -   Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya: (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=23422)

K@IN@@T 09-12-2009 10:58 PM

Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya:
 
Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya: jis shaks ne kalaam Allah shareef padha us ne 'ulum Nabuwat ko apni pasliyo k darmiyan le liya go is ki taraf wahi nahi bheji jaati.Haafiz Qur'an k liye munaasib nahi k gussa karne walo k sath gusse se pesh aaye ya jaahilana saluk karne walo k saath jahaalat ka saluk kare jab k wo apne ander Allah T.ka kalaam liye huey ho.
Hazrat Jaabir R.A.se rivaayat hai k Nabi Kareem S.A.ne irshaad farmaya: ilm do tarah ka hota hai.Ek woh ilm hai jo dil may utar jaey wahi ilm nafe' hai aur doosra woh ilm hai jo sirf zaban per ho ya'ni amal aur ikhlaas se khali ho to woh Allah T.ki taraf se insan k khilaaf ( is k mujrim hone) ki daliil hai .Ya'ni ye ilm ilzaam dega k janne k bawjood q amal nahi kiya.

Hazrat Uqba Bin Aamir R.A. farmaate hai k Rasool S.A.tashreef laaey .Hum log Safa may baithe thay.Aap ne irshad farmaya,tum may se kaun shaks is ko pasand karta hai k rozana subha bazaar Buuthaan ya Aqeeq may jaey aur do umdaah uuntniya bagair kisi gunah (maslan chori wagairah) aur bagair qata' rehmi k le aaey? Hum ne arz kiya : Ya Rasool Allah! is ko to hum may se har shaks pasand karega.Rasool S.A.ne irshaad farmaya:Tumhara subha k waqt Musjid may jaker Qur'an ki do aayato ka sikhna ya padhna do uuntniyo se , teen ayato ka teen se aur char ka char se afzal hai aur in k barabar uunto se afzal hai.

Faedah: Hadees ka matlab ye hai k ayaato ki ta'daad uuntniyo aur untniyo ki ta'daad se afzal hai.maslan ek aayat ek uuntni aur ek aur ek uunt dono se afzal hai.

safa 09-13-2009 04:40 PM

Re: Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya:
 
poora read nahi kya.....................

Hamzaking 10-18-2009 07:57 PM

Re: Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya:
 
Subhan allah

FAJAAN 10-20-2009 02:37 PM

Re: Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya:
 
jazakallah nice sharing

! DAKUUUU!!!! 10-26-2009 07:38 AM

Re: Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya:
 
JAZAKALLAH ..... very nice :)

K@IN@@T 11-01-2009 05:43 PM

Re: Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya:
 
ameen.........

Hamzaking 12-19-2009 03:22 PM

Re: Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya:
 
nyc sharing

!«╬Ĵamil Malik╬«! 05-11-2010 06:21 PM

Re: Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya:
 
Jazak allah

ღƬαsнι☣Rασ™ 02-12-2012 12:15 AM

Re: Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Aas Radi Allahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya:
 

Jazak Allah
thnx 4 sharing


All times are GMT +5. The time now is 08:57 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.