![]() |
badal ki tarah
Marti hoi zamee’n ko bachaana parra mujhay… Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay… Woh ker nahee’n raha tha mairi baat ka yaqee’n… Phir yoo’n hua k mar k dikhhana parra mujhay… Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha… Che’hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay… Us ajnabi say haath milaanay k waastay… Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay… Yaadai’n thee’n dafan aisi k bad-az-farokht bhi… Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay… Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar… Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay… Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan… Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay…!! |
Re: badal ki tarah
Nyce !
|
Re: badal ki tarah
Nyx.....
|
Re: badal ki tarah
very nice..................................:Brilliant: |
All times are GMT +5. The time now is 02:20 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.