![]() |
Humain aakar mana
Humain aakar mana laina kisi bhi kaam se pehlay Udasi thehar jati hai tumhare naam se pehlay Kahan bichra hua koi,safar kay baad milta hai Humain mil kar hi jana tum safar ki shaam say pehlay Yahi taarey teri aankhon ki chilman main rehtey thay Yahi soraj nikalta tha, tumharey baam se pehlay Meri aankhon ko teri ungliyon kion aram aadat hai Ye aankhen so he jati theen barey aaram se pehlay Teri aankhon ko dekha to faqt itna khyaal aaya Guzara kis tarha jewan saloney jam sey pehlay Dilon main phool khiltey hain tumharay naam say pehlay Laho main deep jaltey hain tumharey naam say pehley Dilon ki jagmagati bastiyan aitraz karti hain Wohi jo log lagtey hain nihayat aam say pehley Hua hai wo agar munsif, to Amjad ehtiatan hum Saza tajweez kartey hain kisi anjam say pehlay ..........!! |
Re: Humain aakar mana
nice one
|
Re: Humain aakar mana
thx pakistani
|
Re: Humain aakar mana
:bu:.....
|
Re: Humain aakar mana
v nice
|
Re: Humain aakar mana
Woww Nice ...!!
|
Re: Humain aakar mana
very good
|
All times are GMT +5. The time now is 11:37 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.