![]() |
Jagaa sakey nah tere lab, lakeer aisee thi
Jagaa sakey nah tere lab, lakeer aisee thi humare bakht ki reekha bhi Mir aisee thi . yeh haath choomey gaye, phir bhi bay-gulab rahe jo rut bhi aayi, khizan ke safeer aisee thi . woh mere paoon ko chooney jhuka tha jis lamhey jo maangta osey deti, ameer aisee thi . shahaadatein mere haq mein tamaam jati thee magr khamosh thay munsif, nazeer aisee thi . kutar kay jaal bhi sayaad ki raza ke beghair tamaam omar nah ortee, aseer aisee thi . phir os ke baad nah dekhe wisal ke musam judaaiyon ki gharree chashm geer aisee thi . bas ek nigah mujhe dekhta, chala jata os admi ki mohabbat faqeer aisee thi . ridaa ke saath luteray ko zaad-e-rah bhi diya teri faraakh dilee mere veer aisee thi . kabhi nah chahne walon ka khoon baha maanga nigah-e-shehr-e-sukhan bay zameer aise thi |
Re: Jagaa sakey nah tere lab, lakeer aisee thi
Nyx....
|
Re: Jagaa sakey nah tere lab, lakeer aisee thi
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 01:10 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.