MeOw* |
08-14-2009 07:57 PM |
Sabhi Jazbat, Khayalat Badal Jatay Hain....!!
Sabhi jazbat, khayalat badal jatey hain,
Yun mohabbat mein yeh din raat badal jatey hain,
Pyar to unko bhi hume se hai magar jane kyon ?
Hum karein baat to woh baat badal jatey hain,
Aarzoo to hai ke izhar mohabbat ker don,
Lafz chunta hon to lamhat badal jatey hain,
Kitne nafrat thi kabhi Pehley mohabbat se ?
Ho mohabbat to khayalat badal jatey hain,
Eik sa waqt mohabbat mein kahan rehta hai ?
Gardish-e-waqt pe haalaat badal jatey hain
|