![]() |
((~*~Maa tu jaa rahi hay..maa tu maat jah~*~))
Mera Darpan, Mera Aaina Meri maa ki Aankhen thi Aaj usne aankhen moond li hain Kahan jaaon kahan niharoun khud ko Maa ab duniya mein hi nahin hai Main nahin rootha us hamdard se kabhi Aaj wo hi mujhe chuud gayi Main tanha apni marzi se nahin hoon Meri taqdeer mujhse rooth gayi Kabhi jo mehfilein mere naam se roshan thi Aaj meri rooh ko wo dafna chuke main Mehekte the jo phool aashiyane mein mere Aaj meri mazaar par wo bhi murjha chuke hain Meri saanse khuda ki marzi nahin meri maa ki amanat hain Zinda hai ye hans baazon ke beech ye uski hi inayat hai Shayad hogi teri zaroorat khuda ko par usse mujhe kya lena maa Maa tu ja rahi hai Maa tu mat ja.... Tujh bin kahan jee paunga main tu mujhse door to mat ja Dar dar bhatak raha hoon maa aa mere paas aa, aa mere paas aa.. Maa tu ja rahi hai Maa tu mat ja.... hi friends... mujhe ye achaa laga so yaha post kar diya...i will pray to God Kise ke Maa kise say Juda nah ho... Maa ke bina rahna tu tasawar be nahi kiya jaa sakta....:;angel::salute: |
v nice khush sis
|
thanks alot sis...
|
ny
|
nyc
|
nyce
|
All times are GMT +5. The time now is 07:40 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.