![]() |
Mujhe apne zabt pe naz tha
Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua Meri aankh kaise chhalak gayi, mujhe ranj hai ye bura hua Meri zindagi ke chiragh ka ye mizaj koi naya nahin Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bhuja hua Mujhe jo bhi dushman e jaan mila, wohi pukhta kaar e jafa mila Na kisi ki zarb ghalat pari, na kisi ka teer khata hua Mujhe aap kiyun na samajh sake ye khud apne dil hi se poochiye Meri daastaan e hayat ka to warq warq hai khula hua Jo nazar bacha ke guzar gaye, merey samney se abhi abhi Ye merey hi shehar ke log they, mere ghar se ghar hai mila hua Mujh ek gali mein para hua kisi badnasseb ka khat mila Kahin khoon e dil se likha hua, kahin aansuo'n se mita hua Mujhe hamsafar bhi mila koi to shikasta haal meri tarah Kai manzilon ka thaka hua kahin raastey mein luta hua Humein apney ghar se chaley huey sar e raah umr guzar gayi Koi justujoo ka silaa mila na safar ka haq hi adaa hua |
nice
|
very nice..
|
thanx
|
very nice
|
v nyc
|
vvvv niceeeeeeeee wish
|
| All times are GMT +5. The time now is 06:06 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.