![]() |
Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Na who farishta ho na farishtey jaisa ho Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to Muskra key manayee, woh aisa ho Jo baat karey to woh nibha bhi sakey Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho Dukhon mein hansney ka hunar janta ho Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho |
vvvv nice shah sis
|
V.Nyc
|
:laugh: Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho :laugh: Is Type Ka Koi Nahi Milta Aaj Kal :funnyplate: Baki Poetry To Zabardust Hay :i-agree: |
sub tumhare jaise nahi hai na kuch mujh jaise bhi hoge :p
thanx |
Haan Haan Aap Bohat Honslay Wali Hain :thumb: |
nice
|
v nyc
|
nice
|
All times are GMT +5. The time now is 07:50 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.