![]() |
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay to kiya huwa jo hum say zamana badal gaya qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari us nay chhuraya haath to sehra badal gaya koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya |
koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya nyc............. |
nice
|
bry Nyc:redface1xs:..!! |
very nyccc sis
|
All times are GMT +5. The time now is 01:22 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.