![]() |
|tery narm din sy pare parey |
Teray narm din say parey parey teri garam raat kay us taraf Meri kainaat hunoot hai teri kainaat kay us taraf Main to dhund aur dhooain main hoon, kisi tang o tareek ku’ain main hoon Mujhay dekhnay nahin day raha koi haadsaat kay us taraf Mujhay maut yeh keh kay chali gai tu bhatak raha hai yahan kahan Tera muntazir hai koi safar, safar-e-hayat kay us taraf Meri justujoo mera ruksh hai, mera karb-e-jaan mera rakht hai Mujhay day jehat koi saatween had-e-shash jehat kay us taraf Meray kufr ko na day raasta, meray paaon kaat meray khuda Koi khainchta hai ghari ghari mujhay teri zaat kay us taraf.. |
Meray kufr ko na day raasta, meray paaon kaat meray khuda
Koi khainchta hai ghari ghari mujhay teri zaat kay us taraf.. very nice.. |
nice...
|
nice
|
ty ruby
|
ty hafsa
|
ty safa
|
nice
|
thxx
|
All times are GMT +5. The time now is 10:26 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.