![]() |
| diyar e dil ki raat mein chirag sa jala gya |
dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya judaion k zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi nind a gai mujhe bhi sabr a gaya ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan ab aine main dekhta hun main kahan chala gaya pukarti hain fursaten kahan gai wo sohbaten zamin nigal gai unhen ya asman kha gaya wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya ye kis khushi ki ret par gamon ko nind a gai wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya gaye dinon ki lash par pare rahoge kab talak utho amalkasho utho k afatab sar pe a gaya... |
good hai ye bhi
|
very nice
|
nice poetry
|
very nice..
|
ty amna
|
ty hfsa
|
ty safa
|
thx ruby |
All times are GMT +5. The time now is 08:51 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.