momal ali |
05-23-2009 01:48 AM |
k bahat talash keya magr dosra jahan nahi milta..
Aaj ke is daur me dhunde se bhi insaan nahin milta,
qaatilon ke hujum mil jate hain ek maherbaan nahin milta:
bas gai hai rooh-e-shaitani jism-e-insaani me,
har jagah insaan hai magar phir bhi insaan nahin milta:
ek arsa hua khuda ne bandh kardi guftugoo bashar se,
ek hi mila hai ab tak ke dusra qurran nahin milta:
hai taveel tamannaon ka safar aur tang hai umar;
hai kai humsafar saath lekin koi nghebaan nahin milta:
hai majbur warna rehta na kabhi is duniya me "taasir"
ke bohot talaash kiya magar dusra jahaan nahin milta
|