![]() |
Gham ke maaroN ki andheron men basar hoti hai
Gham ke maaroN ki andheron men basar hoti hai Sham.e gham ki bhi kahin koii sahar hoti hai Usko bhi gham ki tarah dil men hi dafnate haiN Kuch shikayat hameN apnoN se agar hoti hai Dil bujha rahta hai muflis ke charaGoN ki tarah Ab isee tarha harik sham basar hoti hai Jis meN kanTe bhi bicheN moR bhi har gaam pe aayeN Hum malaNgoN ki wohee raahguzar hoti hai ashk ho jate haiN tareek shaboN meN raushan Inhee ashkoN ke sahare tou basar hoti hai Ik musafir bhi agar saye se mehroom rahe Ai shajar! ismeN bhi tauheen-e shajar hoti hai Kis ne kub kaise guzaree haiN shabeN ro ro kar iski kahaN unko Khabar hoti hai |
V..n!c#
|
nice poetry
|
:good:
|
Vnyx
|
thnx all |
nice poetry
|
thnx |
| All times are GMT +5. The time now is 02:06 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.