MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Other's Ulama Bayans (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=136)
-   -   Islam Is The Religion of Peace Allama Syed Hashmi Mian (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=121344)

ziakhan 10-21-2016 03:46 PM

Islam Is The Religion of Peace Allama Syed Hashmi Mian
 
https://www.youtube.com/watch?v=_vOr...QVSv3i&index=8

AmannUmrah 02-27-2017 07:56 PM

Re: Islam Is The Religion of Peace Allama Syed Hashmi Mian
 
ماشاءاللہ
اللہ ھمیں اچھے عمال کرنے کی توفیق عطا فرمادیں ۔ آمین

Mughal 06-21-2017 11:46 AM

Re: Islam Is The Religion of Peace Allama Syed Hashmi Mian
 
People should learn sense of making proper sense of things so that they could look at things critically to see what they are told is true or false.

Madani sb apne bayaan main ghalat bayaani se kaam le rahe hen. Hindu logoon ka aqeeda gita se (jo ke maha bharata ka hissa hai) saaf zahir hai. yahee baat ramayana se bhi saaf zahir hai. in kitaaboon main yeh bataaya gayaa hai shiri krishan aur shiri raam ne logoon ko kia bataaya. yani hindu aqeede ke mutaabiq khudaa duniya main mukhtalif roop dhar ker aata hai. un main se kuchh roop insaani bhi the. doosre lafzun main un ke mutaabiq khudaa insaanu ke darmiyaan insaan ban kar ayaa. lihaaza hindu ka dawa hai ham ne khudaa ko dekha hai insaani roop main. yahee wajah hai jo khudaa ne un ke darmiyaan baaten keen woh un ko kitaabi shakal main apne paas rakhte hen. gita aur ramayana wohee kitaaben hen un ke mutaabiq.

doosri taraf isayee log bhi yahee dawa karte hen khudaa hamaare darmiyaan insaani shakal main peda huwa aur rahaa aur us ne jo kuchh kahaa yaa kiya ham ne us ko apne paas nay ehad naame = new testament ki shakal main mehfooz ker liya.

hindu logoon ki bahot si kitaaben hen vaid, upnishad, puraan, maha bharata, gita, ramayana, manu samriti waghera waghera.

isi tarah isayee log bhi apni bible main bahot si kitaaben rakhte hen. bible bahot si kitaabun ka majmooa hai. un ke mutaabiq yeh kitaaben un ke anbiyaa ne likhi thin khudaa ke bataaye ke mutaabiq.

ham jab doosre logoon ke mazaahib ki baat karen to ham ko un ke aqeede bataane chahiyen un ke mutaabiq. is liye keh agar koi hamaare aqeedun ke mutaabiq ghalat baat kare to ham ko achi nahin lage gi. isi se logoon main dushmani peda hoti hai ghalatfahmiyan phelaane se.

For knowing things about the quran and deen of islam in detail one can see HERE


All times are GMT +5. The time now is 02:40 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.