MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Mohabbat shayari (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=123)
-   -   Muhabba aous ki soorat (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=120387)

waheed ahmed 10-05-2015 06:47 PM

Muhabba aous ki soorat
 


Mohabat aos kii soorat
Piyasi pankhDi kay hoont ko seerab kartii hey
Guloon kay aasteenon maiN anokhay rang bhartii hey
Saher kay jhatpatay maiN, Gungunatii, Muskuratii, Jagmagatii hey
Mohabat kay dinooN maiN dasht be mehsoos hota hey
Kissi firdous kii soorat
Mohabat aos kii soorat
Mohabat aber kii soorat
DiloN ke shahr maiN ghir kay aatii or barastii hey
Chaman ka zarraa zarraa jhoomta hay, Muskurata hey
Azal ke bay-namoo mittii maiN sabzaa sir uthataa hey
Mohabat un ko bhi aabaad aur shaadaab kartii hay
Jo dil hain qabbar kii soorat
Mohabat aber kii soorat!
Mohabat aag kii soorat
Bhujay seenoN maiN jaltii hay to dil baidaar hotay haiN
Mohabbat kii tapash may kuch ajab israar hotay hain
Kay jitna ye bharaktii hey, Aroos-e-jaan mehektii hey
Dilon kay saahilon par jamah hotii or bikhartii hey
Mohabat jhaag kii soorat
Mohabat, Aag kii soorat!
Mohabat khuwaab kii soorat,
NigaahoN maiN utartii hay kisi mehtaab kii soorat
Sitaray aarzoo kay es taraH jagmagatay hain
Key pehchaani nahee jatii dil-e-baytaab kii soorat!
Mohabat kay shajar par khuwaab kay panchi utartay hain
To shakhain jaag uthteen hain
Thakay haray sitaray jub zameen say baat kartay hain
To kub kii muntizar ankhoN maiN
Shamain jaag uthteen hain
Mohabat en may jaltii hay charagh-e-aab kii soorat
Mohabat khuwaab kii soorat!
Mohabat dard kii soorat!
Guzishta mousamoon kaa istaaraa ban kay rahtiia hey
Shabaan-e-hijr may, Roshan sitaraa ban kay rahtii hey
Mandairoon par charaghoN kii loeyeN jub tharthratii hain
Nagar maiN naa-umeedee kii hawaiN sansanateeN hain
Gali may jub koi aahat, Koi saya nahaiN rahtaa
Dukhay dil kay lia jub koi dhooka nahaiN rahtaa
Ghamoon ke bhoaj say jub tootnay lagtay hain shaanay tu
Ye en pay haath rakhtii hay
Kisi hamdard ke soorat!
Guzar jatay hain sitaray qaaflay jub dil ke bastii se
Fizaa maiN tairtee hai dair tak
Yea gard ke soorat,
Mohabat dard ke soorat!

MASOOM GIRL 10-06-2015 04:53 PM

Re: Muhabba aous ki soorat
 
Nice.....

PRINCE SHAAN 10-08-2015 01:01 AM

Re: Muhabba aous ki soorat
 
بہت خوب ... اتنی اچھی شیئرنگ کے لئے شکریہ


All times are GMT +5. The time now is 08:41 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.