![]() |
kuch warq hafsa ki diary say
ASALAM-O-ALIKUM TO ALL APNI DIARY SAY KUCH POETRIES SHARE KAR RAHI HO UMEED KARTI HO AAP SAB KO PASAND AAYI GI BICHAR HI JANA THA Tuje udas bi karna tha khud bi rona tha.. ye haadsa bi meri jaan kabi to hona tha.. woh muje torr ke phir jorta raha aksar.. main uske waaste jaise koi khilona tha.. Hume kahin na kahin to bichar hi jana tha ye haadsa meri zindagi me aana tha woh shaks mujhe saari umar tarse ga.. Naseeb uska "ke usne muhje ganwana tha" |
DARO DEEWAR HANSTEY HAIN udaas palkon ke chilmin mein kuch armaan jaltey hain. jo band kar bhi loon aankhain to sarey khwaab jaltey hain. jaisey chaha, jaisey pooja wahi badnaam kartey hain. wafa ke naam par aasteen mey kuch sanmp paltey hain. aisi wihshat hawa'oo mey ke dar'o'baam hiltey hain. ye tere sheher ke mausam kyun pal pal badaltey hain. howi deewangi aisi ke apney ghum mey rehtey hain. gharaibaan chaak dhaikh kar dar'o'deewaar hanstey hain. jalain khaimey hain aahoon ke huma ab ghar mey rehtey hain. sanmbhal ja ae dil'e'naadaan yahan baimaan rehtey hain. |
woh kuch nahi sonta to mai kehti k mujhay kuch aur kehna tha
woh pal bhar ko jo rokta to mai kehti mujhay kuch aur kehna hai galat fehmi nay baaato ko barha dala warna kaha kuch tha woh kuch samjha mujhay kuch aur kehna tha |
woh baat kyu karay jis ki khabar na ho
woh dua kyu karay jis ka asar na ho kaisay keh day tumhay lag jayay meri omer kia pata aglay pal meri omer hi na ho |
v nyc sis
keep it up sis |
nice sharing |
nyc sharin sisoo keep it up janizzzzzzzzzz :fRiEnDS:
|
nice
|
nice 1 keep it cummin .... 1 day u 'll loose this diary of urs for sure ...
|
itna roi ho k ab ankh mai pani bhi nahi hai
sirf ankhay jo ban jayay to yeh hai bohat pori tasveer mai nay kisi ko dekhani bhi nahi zindagi ab to taluq ki yeh sorat hai tujh say rakhni to haior tujh say nibhani bhi nahi |
All times are GMT +5. The time now is 09:21 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.