![]() |
ab bhi wabastaa haiN
Nazm Ab bhii waabastaa haiN Guzishtaa se Pewistaa woh saare zamenn ab bhii Khushboo deta he PhoolouN se aarastaa door kisi dais kaa kumhlaayaa huwaa purana chamen ay booo-ye-gul-e-janaaN tuu aazurdah na ho Ab bhii jii uth.te haiN BaharouN maiN boseedah damenn Dill he ke kisi goshaa-e-aafiyat maiN simet jaataa he soch ki doahraiN khill uth.tii haiN kushadah daaman-e-gul ke sab pairahan ab bhii jii uth.te haiN zehn maiN Us zameeN ke dhundhlaye huwe sulagte huwe yaadouN ke sehann Chalo ke ab lahoo maiN phir se TazaH HerfouN se pewand kari ker lete haiN Chalo ke phir se yaad karte haiN Us maazi se lipte huwe komal dopahar ke sab kushadah daaro rasenn Waqt zalim he Ju qaid-e-tenhaayii kii Zanjeer hilaa detaa he Her nyaa palll Guzishtaa pal se us kii taqdeer mila deta he ab ye ham pe laazim he ke guzishtaa saddi kii Her tasveer jalaa daalaiN Ke ab ye malzoom ho giaa he beete huwe lamhouN kii KHanaktii huwiii paazaib Utaar phainkaiN May 2012 |
Re: ab bhi wabastaa haiN
Very nice
|
Re: ab bhi wabastaa haiN
thanks a lot jigar jii
|
Re: ab bhi wabastaa haiN
svery nice
|
Re: ab bhi wabastaa haiN
thanks alot shkeel ji
|
Re: ab bhi wabastaa haiN
PAther hi lagen gy tjy har simt se akr
ye jhot ki dunia hai yahan sach na kaha kar rota hai kis lie tjy soo bar kaha tha halaat k dhareee kmukhalif na bahaaa kr .......:) |
Re: ab bhi wabastaa haiN
Muhabbat un dinoN kii baat he Fraz
Jab log sachay aur makan kachay thay |
Re: ab bhi wabastaa haiN
tum tarke taluk ka kahenn ziker na krnaaaa
me logo se kh dongiiii fursat nai miltyyyyyy |
Re: ab bhi wabastaa haiN
short Nazm
suno tum kesii ho BaghouN ki sair karti ho PhoolouN se piaar kerti ho ajnabii logouN per ab hii utna hii aitabaar kerti ho suno tum kaisi ho |
All times are GMT +5. The time now is 08:11 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.