![]() |
Woh Tum Kahan Gai Woh Zamana Kidhar Gaya..
Us Ne Kaha Ke Ishq Ka Nasha Utar Gaya… Mein Ne Kaha Husn Bhi Tum Se Mukar Gaya… Us Ne Kaha Ke Tujh Ko Deelani Hein Choriyaan… Mein Ne Kaha Ke Aab Woh Zamana Guzar Gaya… Us Ne Kaha Ke Kya Howi Kajal Ki Dhaar Si… Mein Ne Kaha Ke Aankh Se Darya Guzar Gaya… Us Ne Kaha Ke Yeh Teri Chiryoon* Se Dosti… Mein Ne Kaha Ke Dil Mera Duniya Se Bhar Gaya… Us Ne Kaha Ke Kya Mila Sab Se Big’aar Ke… Mein Ne Kaha Ke Waqt To Aacha Guzar Gaya… Us Ne Kaha Ke Khwab Mein Aane Ka Waqt Do… Mein Ne Kaha Ke Neend Ka Mosaam Guzar Gaya… Us Ne Kaha Ke Woh Tere Suraj Ka Kya Bana… Mein Ne Kaha Ke Woh Mere Dil Mein Utar Gaya… Us Ne Kaha Ke Woh Nahi Dega Tumhara Saath… Mein Ne Kaha Ke Woh Chalo Wada To Kar Gaya… Akhir Ko Tang Aake Kahi Us Ne Itni Baat… Woh Tum Kahan Gai Woh Zamana Kidhar Gaya.. |
This One Is Just Awesome Janab ,. Keep Sharing! |
Gr8.... :;shyy:
|
wah wah
zabardast janab |
very nice
|
Thanks all of you for lykin it ..... ! :) |
gr8888888888888 :star:
|
Thanks mahum |
lovley..munda.
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya, Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya, Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main, Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya, Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se, usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya |
All times are GMT +5. The time now is 02:48 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.