![]() |
Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
<< Habib Jalib>>
Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti Jis Dais me insan ki hifazat nahi hoti Makhloq -e-Khuda jab kisi mushkil me phansi ho Sajde me parre rehna ibadat nahi hoti Hum khak nashino se he Q kartey hai nafrat? Kya parda nashino me ghalazat nahi hoti? Yeh baat nae nasal ko samjhani paregi K uryani kabhi bhi sadafat nahi hoti Sir ankho pr hum usko bitha lete hain aksar Jis k kisi wade me sadaqat nahi hoti Pohnacha hai agarche bara nuqsan hamesha phir B kisi bande ki ata'at nahi hoti Hr shaks apne sir pe kafan bandh k nikle Haq k liye larna to baghawat nahi hoti!! |
Re: Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
Buhat Umda
|
Re: Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
Veryy Niceeeeeeee
|
Re: Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
gr8 Admin
|
Re: Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
awesome...
|
Re: Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
nice sharing
|
Re: Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
Kahin andar utar janay wali gehri baten....
|
Re: Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
,,:bu:
|
Re: Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
awsome poetry ayaz ji khush rahye....
|
All times are GMT +5. The time now is 08:22 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.