![]() |
saahil se lehraiN
Sahil pe lehraiN YouN takraatii haiN jaise sahil ko pash pash ker daiN gi Lekin jab sahil unhaiN galay se lagana chahe tu Jhaag ki teraH baith jatii haiN Be nishaan Be kaamraan Per himmet nahiiN hartiiN aakhir kab tak koii in lehrouN ko galay se lagaaye gaa aakhir ek din tu Toot hi jaaye gaa |
Re: saahil se lehraiN
Aik tootay huwe saaghar saa ye dill aur phir iss kii KirchiiyaaN Hum uthaa laiN baDay shoq se Muhabbat maiN sab sood-o-zyaaN He ye mere ahd kaa shehr-e-zindaaN Ke JahaaN apnii hii aag maiN jaltii huwii shamm-e-firozaaN dill ke baazaar maiN rakhe huwe saamaaN aik tootii huwi paazaib se lipte huwe teri chahat ke sitm gham ke sail-e-rawaaN Ham uthaa laiN ge baDay shoq se sab zood-o-zyaaN aik toote huwe saaghar saa ye dill aur phir is ki kirchyaaN |
Re: saahil se lehraiN
Very nice
|
Re: saahil se lehraiN
1st poetry pe mujhe buht sarahaa gia but I dont kow why the 2nd one kisi ne nahii sarahaa us ki wajah mujhe maloom he but o problem thanks a ot jigar jii
|
All times are GMT +5. The time now is 08:47 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.