![]() |
maiN jab bhii Tazah kalam
MaiN jab bhi Khushboo ki baat kerta houN woh merii saadgii pe hanste haiN Log aise bhii bastiyouN maiN baste haiN Ju khoushii ke her pal maiN bhii aansoo pelkouN pe rakhte haiN Ju hanste hanste rone lagte haiN log aise bhi bastiyouN maiN baste haiN JinhaiN dukh raas aate haiN ke jin ke paaouN mermareeN ghaleechouN pe chalne se jalne lagte haiN baharouN kii bataiN ab kia sunaaouN tum ko ke kaisa bhi mosam ho phool murjhaa hii jaate haiN aur phool murjhaane se pehle kantouN ke damen maiN, sir rakhte haiN log aise bhii bastiyouN maiN baste haiN khushyouN se graiz paa ho ker dukh ke damen se lipt lipt jate haiN aur ham shehnaaiiyouN kii gonj se larzaaN dukh kii bansrii bajate rehte haiN aur wo merii saadgi pe hanste haiN |
Re: maiN jab bhii Tazah kalam
very nice
|
Re: maiN jab bhii Tazah kalam
ke kaisa bhi mosam ho
phool murjhaa hii jaate haiN Very nice. t4s |
Re: maiN jab bhii Tazah kalam
Very nice
|
Re: maiN jab bhii Tazah kalam
Princess jii dhai jii jigar ji thanks a lot
|
All times are GMT +5. The time now is 04:41 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.