![]() |
Dasht-e ghurbat hai alaalat bhi hai tanhaai bhi
Dasht-e ghurbat hai alaalat bhi hai tanhaai bhi,
aur un sab ne fuzoon baadiya-paimaai bhi. Khwaab-e raahat hai kahaan neend bhi aati nahin ab, bas uchat jaane ko aayi jo kabhi aayi bhi. Yaad hai mujh ko woh be-fikri o aaghaaz-e shabaab, shukhan-aaraai bhi thi anjuman-aaraai bhi. Nigaah-e-shauq-o-tamanna ki woh dilkash thi kamand, jis se ho jaate the raam aahoo-e-aaraai bhi. Hum sanam-khana jahan karte the apna qaayam, phir khade hote the waan hoor ke shaidaai bhi. Ab na woh umar na woh log na woh lail-o-nahaar, bujh gayi taba kabhi josh pe gar aai bhi. Ab toh shubhe bhi mujhe dev nazar aate hain, uss zamaane mein pari-zaad thi ruswaai bhi. Kaam ki baat jo kehni ho woh keh lo ‘akbar dum mein chhin jaayegi ye taaqat-e-goyaai bhi. !! - Akbar Allahabadi |
Re: Dasht-e ghurbat hai alaalat bhi hai tanhaai bhi
nice sharing
|
Re: Dasht-e ghurbat hai alaalat bhi hai tanhaai bhi
Very nice
|
All times are GMT +5. The time now is 01:59 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.