![]() |
** kaash wo tera aakhiri khat **
kaash wo tera aakhiri khat aakhiri na hota bhooli nahi hai tu mujhe ye ehsaas to rehta main tanha to hota magar itna bhi na hota har khat tera wajood banke mere paas to rehta shayad meri mohabbat me ab koi asar na raha ab na hoti hongi teri aakhein nam mere liye shayad tere dil me meri yaadon ka basar na raha ab na uthaate honge tere haath kalam mere liye lekin lag raha hai mujhko aaj dil ki baaton se jaise kar rahi hai tu bas abhi yaad mujhe likh rahi hai khat koi apne mulayam haaton se jo aake milga bas chand roz ke baad mujhe subah guzar jaayegi shaam ke intezaar me aur shaam nayi subah ke intezaar me guzar jaayegi zindagi guzar jaayegi tere paigaam ke intezaar me us ke baad kya hoga bas maut chali aayegi is aas me chala jaaunga main ye jahan choorkar k shayad mera marna hi kuchh kaam aayega shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar jis pal tere paas meri maut ka paigaam aayega... |
very Nice
|
Quote:
|
nice poetry
|
Quote:
|
All times are GMT +5. The time now is 11:49 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.