![]() |
Bahaar ka Mosam
Bahaar kaa mosam ab tu guzer jata he khamoushi se Jese koi tenhaa aahoo Phirta he jangal maiN maayousi se ke ab tere baghair JaanaaN Kisi mosam maiN bhii Raahat nahi milti dill ki mussarat maiN Yaa chehre ki udasi maiN Jaise sakhsiat maiN kuch miana rawi si aa gaii he ab wo pehle sii khasoosiat nahi milti ab tu apni zindagi bhi ho chukii suraabouN jesi tere hote huwe umer bhi lagtii thii gulabouN jaisi Her mussarat maiN bhi dil udasi kaa pehloo dhondhe apni khaslat bhi ab ho chukii BachouN ke sawalouN jesi Jaise koi rasta bhoola huwa shakhs phirta he shehr kii galyouN maiN bedhawasii se Bahaar ka mosam ab tu guzer jata he Khaamoushi se. |
Re: Bahaar ka Mosam
Very Nice
|
Re: Bahaar ka Mosam
thanks a lot jiger jii
|
All times are GMT +5. The time now is 02:33 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.