![]() |
kisi muajazah-e-shab-e-wasel ka NAZM
Kisi muajaza-e-shab-e-wasel kaa koii bhi intizaar nahii Ju behk chuke haiN ye wo jaam haiN Ab in maiN koii bhii khumaar nahii Na ye sehra na ye gulistaaN Na wo chamn ke jis kaa aitbaar ho Fasiil-e-gul ke iss nagar kaa ab koii shajar koii shakhsaar nahii Ju guzr gaye wo azaab thay Na thay MuhabbatouN ke silsile Mere iss shehr maiN tu aisaa koii bhii gunah gaar nahii koii aisa fitrat saaz bhii ho ke ju apne dushman-e-jaaN ko bhii rkhtaa ho aziz ter Shayed yahaaN aisa koii dawedaar nahii ab ke mizaaj kuch youN bhii he dila kaa ke ker saktaa nahii he koii bhi faislaa ke ju ayyaam-e-haal he Beshtar wo mere khyaal ke haiN Peshtar Ju paaouN haiN desht maiN dhanse huwe door door tak koii Nishaan Koii bhii mosam-e-Bahaar nahii |
All times are GMT +5. The time now is 05:10 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.