![]() |
Waheed Fav.
shouq-e-raqs se jab tak ungliyaaN nahii khulteeN
PaaouN se hawaa,ouN kii BaDDhyaaN nahii khulteeN PaiDh ko duaa de ker kat gaii baharouN se phool itne BarH aaye haiN khiDDkyaaN nahi khulteeN Phool ben kii sairouN maiN aur kon shamil thaa shoukhi-e-sabaa se tu baalyaaN nahii khulteeN Husn ko samjhne ko Umer chaahye JaaNaaN Do ghaDDi kii chahat maiN larDkyaaN nahi khulteeN Koii moja-e-sheereeN choom ker jagaaye gii soorjouN ke naizouN se siipyaaN nahii khulteeN MaaN se kiaa kahaiN ge dukh Hijar kaa, ke khoud per bhii itnii chotii umer kii bach.chyaaN nahii khulteeN Shaakh shaakh ser ger daaN ,kis kii justajoo maiN he kon se safar maiN haiN titlyaaN nahii khulteeN Aadhi raat kii chup maiN kis ki chaap ubherti he Chett pe kon aataa he seerDhyaaN nahii khulteeN PaanyouN ke cherH.ne tak, haal keh sakaiN aur phir kiaa qyaamtaiN guzreeN, bastiiyaaN nahi khulteeN Perveen Shakir |
Re: Waheed Fav.
very nice
|
Re: Waheed Fav.
nice....
|
All times are GMT +5. The time now is 03:16 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.