![]() |
Kahan A ke ruknay
Kahan A ke ruknay thay rastay! kahan mour tha! osay bhol jaa Wo jo mill gaya osay yaad rakh, jo nahe mila osay bhol jaa Wo tere naseeb ke barishain kisi aur chat pe baras gain Dil-e-be khabar meri baat sun,osay bhol ja, osay bhol jaa Main tu gum tha tere he dehan mein, teri aas, tere guman mein Saba keh gai mere kaan mein, mere sath aa, osay bhol jaa Kisi ankh mein nahe Asak-e-gham, tere baad kuch bhe nahe hai kam Tujhay zindagi ne bhula dia, tu bhe muskara, osay bhol jaa Kiun Atta howa hai gubar mein, gham-e-zindagi ke fishar mein Wo jo darj tha tere bakht mein, so wo ho gaya, osay bhol ja na wo Ankh he teri Ankh thi, Na wo khowab he tera khowab tha Dil-e-muntazir tu yee kis liye, tera jagna, osay bhol jaa Yee jo raat din ka hai khel sa, osay dekh ais pe yaqeen na kar Nahe Aks koi bhe mustakil, Sare Aina, osay bhol jaa Jo bisat-e-jaan he ulat gaya, wo jo rastay mein palat gaya Osay roknay se hasol kia, osay mat bula, osay bhol jaa... |
Ek Dum Suprb...:;angel:
|
good
|
gud...
|
thnx all
|
All times are GMT +5. The time now is 03:06 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.