![]() |
Ye Dunya Kay Masoom Log ..
Ye Dunya Kay Masoom Log Bhi Kaisi Kaisi Batay Ghartay Hain .. Kehtay Hain Muhabbat Walo'n Kay Jhanday Sahil Pay Partay Hain .. Kabhi Utaaro To Sahi Muhabbat Kay Sumndar Main Apni Kashti .. Phir Poocho'n Ga Tumharay Lunger Kis Qoochay Main Daltay Hain .. Ajeeb Kissa-e-Gumrahi Hay, Jisay Apnay Kal Ki Khabar Nahi Ajeeb Saaz-e-Shehnai Hay, Jisay Aglay Pal Ki Khabar Nahi .. Wo Kaisay Keh Daita Hay Kay Wo Kisi Ka Ho Kay Rahay Ga .. Wo Kisaan Kya Fasal Ugaye Ga, Jisay Apnay Hul Ki Khabar Nahi .. Kuch Na Paye Ga Tu Is Muhabbat Say, Bass Rulaya Jaye Ga .. Manzil Say Pehlay Hi, Beech Rastay Tera Khoon Bhaya Jaye Ga .. Is Dunya Ki Muhabbat Ko Kabhi Muhabbat Ka Naam Mat Dijiyo .. Haseen Khawbo'n Kay Baad Waqt-e-Hijr Dikhaya Jaye Ga .. Ye Kaisi Muhabbat Hay? Jo Roz-e-Hashar Tujh Say Baygani Hogi .. Us Din Ye Muhabbat Hawa Hogi Aur Sirf Tumhari Kahani Hogi .. Bass Tumhari Maa'n Kay Naam Say Tumhain Bulaya Jaye Ga .. Haan, Yeh Aik Muqaddas Rishta Hay Jo Nibhaya Jaye Ga .. Kion Hum Nay Char Din Ki Mulaqat Ko Muhabbat Ka Naam Diya ?? Kion Hum Nay Is Jhootay Bandhan Ko Pak Rishtay Ka Naam Diya ?? Kya Ghazab Dhaa Diya Dunya Walo, Muhabbat Katal Kar Di Hum Nay!! Kion Hum Nay Qatl ' o ' Gharat Ki Andhi Ko Aman Ka Naam Diya?? Ye Jhoot Nahi, Mere Bhi Haath Muhabbat Kay Khoon Main Rangay Hain .. Ab Bhi Peechay Mur Kay Daikho'n To Mere Rastay Baydhangay Hain .. Jo Ankhain Char Karo'n To Nazar Nahi Mila Pata Main Apnay Mazi Say .. Jisay Main Muhabbat Kehta Tha, Ab Wo Sab Mosam Bayrangay Hain .. Us Zaat Say Baywafai Kar Kay, Dobara Usi Kay Dar Par Khara Hoon .. Mujhay Is Bhanwar Say Nikalay, Dobara Usi Kay Dar Par Khara Hoon .. Ruk Gai Hay Kashti Beech Sumandar Main, Haan Magar Doobi Nahi ~*Gillanii.. Lotaye Ga Wo Wapis Mere Dais, Dobara Usi Kay Dar Par Khara Hoon .. |
achi baatein hain ......:flower4u:
|
Shukriya Pyari Safa .. Mere Haq Main Duwa Karna :flower4u: |
Ufff! Phir Se Kamaal Kar Diya Bhai ,. This One Is Def. Thought Provoking,. Beautiful Written And Very True! Lagta Hai Meri Duao'n Ka Asar Ho Raha Hai :10: Btw, Bhai Kaha, Hope U Don't Mind ,. |
Aik Koshish Aapke Liye,. Aapke Saamne To Kuch Nahi, Par Phir Bhi, Dil Kiyaa To I Am Posting It,. You May Critisize , Actually U Should Critisize,. Warna Behtar Kaise Hoongi :) Ye Duniya Ke Log Bhi Kaisi Kaisi Masoom Baatein Karte Hain,. Wo Kaise Keh Dete Hain Ke Hum Kisi Ke Ho Ke Hi Raheinge,. Kaise Keh Dete Hain Ke Hum Marr Kar Bhi Kisi Ko Hi Chaheinge,. Aur Phir Ussi Ki Bewafai Ke Ranjh-o-Gham Mein Rab Se Maut Mangte Hain,. Hamari Khatao’n Ko Mauf Kar Mere Maula, Khalb-e-Saqoo’n Baqsh De Mere Maula,. Ye Duniya Meri Samajh Se Bahir Hai Ya-Rab, Jaha’n Nahi Jaana Chahiye, Wahi’n Keeche Kyu’n Chale Jaate Hain Log,. Kaisi Duniya Mein Ye Jeete Hain, Kisi Anjaan Ko Kaise Dil De Dete Hain Log,. Kaise Kisi Duniyavi Pyar Ke Liye, Maa-Baap Ko Azaab-e-Qabr Se Guzaarte Hain ’Isma’,. Phir Is Karni Ki Vaja Se Yu’n Pashtate Hain, Ke Kisi Pe Bharosa Karne Se Is Qadar Darte Hain,. Hamari Khatao’n Ko Mauf Kar Mere Maula, Khalb-e-Saqoo’n Baqsh De Mere Maula,. Bohat Duniya Ko Chah Liya, Ab Sirf Teri Hi Talab Hai Khaaliq,. Bayshaq Tu Hai Reham Karne Wala, Na Humein In Logo’n Ke Rang Mein Rangne Dena,. Nafs-I-Mutma’Inna Ki Talabgaar Hoon Main, Maula Tere Hi Aage Jholi Pehlaati Hoon Main,. Rab Ke Siwa Koyi Mohabbat Ke Qabil Nahi, Bas Itna Hi Kehna Chahti Hoon Main,. Samajh Jaoge To Tumhara Hi Faida, Warna Yaum-e-Hisaab Ke Din Kahan Hai Koyi Kisi Ki Sochta,. Hamari Khatao’n Ko Mauf Kar Mere Maula, Khalb-e-Saqoo’n Baqsh De Mere Maula, Ameen!! Erm, I Stole Some Of Ur Linez,. =S |
Jp Is Main Bura Mananay Wali Koi Baat Nahi, Bhai Keh Sakti Ho Aap :handshake: .. Aur Sach Sach Batana Meri Poetry Say Idea Chori Kya Ya Khud Likhi :giggle: Pehlay Say Kafi Behtar Hay, Magar Aur Mehnat Karo, Janta Hoon Tumhain Likhnay Ka Kafi Shoq Hay .. Aur Agar Aisay Hi Shoq Raha To bohat Agay Jao Gi Inshallah, Rastay Main Thakna Mat Chalti Jana Bohat Naam Kamao Gi :flowers: |
Sakoon-e-Qalb** .. |
Is Line Ka Matlab Nahi Samjha Main .. Kaise Kisi Duniyavi Pyar Ke Liye, Maa-Baap Ko Azaab-e-Qabr Se Guzaarte Hain ’Isma’,. |
Nafs-I-Mutma’Inna , Aisa Bhi Koi Word Nahi Suna .. Balkay Shayad Hay Hi Nahi .. Aap Start Main Thori Easy Urdu Use Karo Na, Hard Urdu Kharab Karay Gi .. |
Yaum-e-Hisaab Ke Din ... Youm Ka Matlab Hota Hay Din .. Youm-e-Hisaab Likh Diya To Din Likhnay Ki Zaroorat Nahi |
All times are GMT +5. The time now is 12:16 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.