MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Your Own Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=44)
-   -   Aik Misaal, Aik Haqeeqat .. (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=10922)

~*Gillanii 04-03-2009 10:42 AM

Aik Misaal, Aik Haqeeqat ..
 
:bismillah:

As Salam O Alaikum !! :)

Dosto, Apni Likhi Aik Aur Nazam "Aik Misaal, Aik Haqeeqat" Share Karnay Ja Raha Hoon .. Alhamdulillah
Umeed Hay Pasand Aye Gi .. :)

~*Gillanii 04-03-2009 10:44 AM

Aik Misaaal !!

Ay Dost Tujhay Inkaar Na Mujhay ..
Apni Cheez To Sabhi Ko Pyari Hoti Hay ..
Jo Cheez Khud Banai Hoti Hay ..
Bayshaq Wo Jaan Say Pyari Hoti Hay ..
Magar Ye Bhi Haqeeqat Hay Pyaray ..
Sila Na Milay Us Cheez Say To ..
Wo Tujh Pay Hazaar Bhaari Hoti Hay ..

Chalo Ye Farz Kartay Hain ..
Tu Nay Ik Shahkaar Banaya ..

Ik Khoobsoorat Jaga, Usay Sajaya
Magar Wo Na Bhaya, Usay Uthaya ..
Utha Kay Ik Doosri Jaga Sajaya ..
Phir Na Bhaya, Aur Phir Uthaya ..

Socha Ik Azmaish Aur Sahi ..
Dil Pay Kuch Jabr Aur Sahi ..
Ik Akhri Koshish Hi Kar Lain ..
Nahi To Phir Koi Aur Sahi ..
Bawajood Lakh Koshish Kay ..
Wo Shahkaar Kahi'n Na Bhaya ..
Baykar Sochtay Howay Tu Nay ..
Akhir Usay Kachray Main Giraya ..




Aik Haqeeqat !!

Ay Dost Gar Samjhay, Baat To Samjhnay Ki Hay ..
Samajh! Kya Waja Raheem Kay Garajnay Ki Hay ..
Haan Apni Cheez To Sabhi Ko Pyari Hoti Hay ..
Jo Cheez Khud Banai Hoti Hay ..
Bayshaq Wo Jaan Say Pyari Hoti Hay ..

Us Nay Baray Pyar Say Tujhay Mitti Say Banaya ..
Ashraf-ul-Makhlooqat Keh Kay Dunya Main Sajaya ..
Takhleeq-e-Keynaat Kay Is Alaa Namoonay Ko ..
Sab Naimato'n Say Nawaz Kay Phir Azamaya ..

Jo Tu Na Utra Us Ki Tawquat Par Poora ..
Us Nay Bhi Chor Diya Phir Tujhay Adhoora ..
Kuch Na Mila Phir Tujhay Andher Sawair Main ..
Aur Paya Khud Ko Tu Nay Kachray Kay Dhair Main ..

Anso Baha, Girgira Aur Toba Kar Us Kay Agay ..
Rishta Toot Jata Hay, Gar Hon Kachay Dhagay ..

Wo Kion Kar Na Tujhay Muaf Karay Ga ..
Akhir Apni Cheez To Sabhi Ko Pyari Hoti Hay ..
Jo Cheez Khud Banai Hoti Hay ..
Bayshaq Wo Jaan Say Pyari Hoti Hay ..


~*Gillanii 04-03-2009 10:50 AM

DuwaO'n Ka Talabgaar .. Salman Gillanee !!
:rose5:

Jhuki Palkein 04-03-2009 12:23 PM

Wa alaikum salaam!

Sooli Jee! Kamaal Kar Di Aapne!

Superb Creation And Very Creative!

Aap Soch Nahi Sakte Aap Ki Is Nazam Ko Padh Ke Kitni Khushi Mili,. :cheer:

I´m Really Impressed - Jitna Kahoo'n Kam Hoga,. - Dil Jeet Liya, Sach Mein :rose5wd:

Bas Yehi Dua Karoongi Allah swt Se Ke Aap Aisi Hi Likhte Rahein,. Khush Rahein .

Aur Suno! Humein Bhi Kuch Likha Sikha Do :smile_no0032:

Hussain 04-03-2009 02:39 PM

Bht khoob solli

safa 04-03-2009 05:02 PM

bahut khoob......jug jug jio......:flower4u:

~*Gillanii 04-03-2009 07:42 PM

Quote:

Originally Posted by Jhuki Palkein (Post 281870)
Wa alaikum salaam!

Sooli Jee! Kamaal Kar Di Aapne!

Superb Creation And Very Creative!

Aap Soch Nahi Sakte Aap Ki Is Nazam Ko Padh Ke Kitni Khushi Mili,. :cheer:

I´m Really Impressed - Jitna Kahoo'n Kam Hoga,. - Dil Jeet Liya, Sach Mein :rose5wd:

Bas Yehi Dua Karoongi Allah swt Se Ke Aap Aisi Hi Likhte Rahein,. Khush Rahein .

Aur Suno! Humein Bhi Kuch Likha Sikha Do :smile_no0032:

Bohat Bohat Shukriya Jp, Chalo Kisi Tarha To Main Nay Kisi Ko Khush Kiya .. :o
Ameeen!! Aap Ki Duwa Bohat Pyari Hay, Last Time Bhi Di Thi .. To Ye Likh Dali :rolleyes:
Problem To Ye Hay Poetry Kisi Kay Sikhanay Say Nahi Atti, Agar Aisa Hota To Main Wasi Shah Ki Shagiridi Main Hota :wiIInk:
Bass Jis Cheez Par Likhna Ho, Apni Soch Ko Sirf Us Cheez Kay Gird Ghumaya Karo Acha Likh Sakti Ho :artist:

~*Gillanii 04-03-2009 07:43 PM

Quote:

Originally Posted by Himesh (Post 282165)
Bht khoob solli

Shukriya Mere Sohnay Dost :bangin:

~*Gillanii 04-03-2009 07:44 PM

Quote:

Originally Posted by safa (Post 282278)
bahut khoob......jug jug jio......:flower4u:

Aap Bhi Jug Jug Jeo Pyari Safa :bazza:
Pasand Karnay Kay Liye Shukriya :(naqal:

D.M 04-03-2009 07:45 PM

nice sharing


All times are GMT +5. The time now is 03:04 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.