![]() |
Ye Daur-e-Majburi ..
Tumharay Gham Kay Siwa Aur Bhi To Ghum Hain Mujhay ..
Nijaat Jin Say Main Ik Lehzaa Pa Nahi Sakta .. Ye Oonchay Oonchay Makano'n Ki Deevaro'n Kay Talay .. Har Aik Gaam Pay Bhookay Bhikariyo'n Ki Sada .. Har Aik Ghar Main Hay Aflaas Aur Bhook Ka Shor .. Har Aik Simt Ye Insaniyat Ki Aah'o'Baka .. Ye Karkhano'n Main Lohay Ka Shor'o'ghul Jismay .. Hay Dafan Lakho'n Ghareebo'n Ki Rooh Ka Naghma .. Ye Shahraho'n Pay Rangeen Saarhyo'n Ki Jhalak .. Ye Jhonpro'n Main Ghareebo'n Ki Baykafan Lasain .. Ye Mall Road Main Car'on Ki Rail Pail Ka Shor .. Ye Patriyo'n Pay Ghareebo'n Kay Zard Ro Bachay .. Gali Gali Main Ye Biktay Howay Jawa'n Chehray .. Haseen AnkhO'n Main Afsurdagi Si Chai Hay .. Ye Jung Aur Mere Watan Kay Ye Shokh Jawaa'n .. Khareedi Jati Hay, Uthti Jawaniyaa'n Jin Ki .. Ye Baat Baat Pay Qanoon o Zabt Ki Girift .. Ye Zillatain, Ye Ghulaami, Ye Daur-e-Majboori .. |
ye bahut khoob hai...broji....:flower4u:
|
very nice..
|
:cheer: Excellent Sooli ,. Khush Kar Diya :cheer: |
zabardast
|
Thanks Safa, Ruby', Jp & Pu :thanks: |
All times are GMT +5. The time now is 12:44 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.