MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Miscellaneous/Mix Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=129)
-   -   !!~~DeDiCaTiOnS To MoM~~!! (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=10336)

ShArArTi MuNdA 03-25-2009 07:28 AM

!!~~DeDiCaTiOnS To MAA~~!!
 
Salam Everyone,

Well i decided to make a poetry Thread where we can share poetry in da memories or in da praise of our mom,,dad (parents).

yahan per aap main mom ya dad ya parents ko dedicate ki hoye poetry share karounga aur agar aap log chahye tu aap b ker saktey hain :)

If u guys do like my idea then welcome and if u don't like the idea then really ain't gonna matter to me :weight-lifter:




Payari maa mujey aapki duaa chahiye
aapkey anchal ki thandi hawa chahiye
Payari maa mujey aapki duaa chahiye

lori ga ga muj ko sulati hain aap
muskara k swarey jagati hain aap
mujey wohi sawera,wohi roshni,wohi loriyan hamesha sada chahiye

aapki mamta k saye main jeeta houn main
thaam ker hath aapka chalta houn main
aapkey saharey se gir ker sambhalta houn main
yehi sahara, yehi mamta hamesha sada chahiye

aapki khidmat se duniya main azmaat humari
aapkey paoun main hai chuppi jannat humari
bas ussi jannat ka chota sa kinara chahiye
umer bhar aap ka sahara chahiye

Payari maa mujey aapki duaa chahiye

ShArArTi MuNdA 03-25-2009 07:31 AM

Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne

Jab bhi maa ka naam liya,
os ka beshomaar pyar paya hai mai ne

Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne

Jaagti rahi who raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne

Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howa gumrah mai
Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne

Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
aisa farishta paya hai mai ne

meri har fiker ko janne wali,
mere jazbaaton ko pehcanne wali,
aisi hasti payi hai mai ne

Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne

ShArArTi MuNdA 03-25-2009 07:41 AM

Is Zulm Ki Duniya Main Faqat Piyar Meri Maa
Hay Meray Liye Saya-E-Dewar Meri Maa
Nafrat K Jazeron Say Mohabbat Ki Hadon Tuk
Bus Piyar Hay Han Piyar Hay Bus Piyar Meri Maan

ShArArTi MuNdA 03-25-2009 07:46 AM

Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne
Abhi Tak Wo Bachpan Ki Yaadein Hain Baqi
Aur Woh Bachpan Ki Batein Hain Baqi
Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar
Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein
Maa Ki Waajhe Se Aaj Hoon Kya Kya Mein
Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedo Dil Tohfa Mein Agar
Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Soog Hotay Hain
Kuch Logon Ke Liye Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Moorte Nahi
Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain
Kash Qurbaan Karo Mein Sab Us Ki Sada Peh
Aur Wo Mujhe Pyar Kare Meri Issi Ada Peh
Maa Se Mujhe Koi Juda Na Karey

ShArArTi MuNdA 03-25-2009 08:12 AM

Maa Ka Pyar Kya Hota Hai

Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay
Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya

Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei

Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney Laga

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Baton Ke Phir Tu Chalane Laga

Baat Baat Pe Un Se Tu Ladne Laga
Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay Laga

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ek Din
Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin

Sun Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar

Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya

Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi
Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi

Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe Chaaney Laga
Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu
Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai Tu

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi

Dard Mein Tu Pukare Ke “O Meri Maa”
Tere Dam Se Hi Roshan The Dono Jahan

Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya
Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh Gaya

Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha
Apne Maan-Baap Ko Tu Satata Raha Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga

Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan Le
Apni Jannat Ko Duniya Main Pehchan Le

Aur Leyta Rahe Woh Badaun Ki Dua
Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami Khuda

Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na Rehmat Ki Barsat Ko

ShArArTi MuNdA 03-25-2009 08:18 AM

Ma Thandi chahon to Baap ghana dharakht

Maa k pairon talay jannat to Baap k pahlon main jannat

Maa k baghir gher soona to baap k baghir zindagi viraan

Maa muhabbat ka dariya hai to Baap shafqat ka samander

Maa ulaad ki rafeeq hai to Baap ulaad k lie shafeeq

Maa tohfa Khuda Wandi hai to Baap Rehmat Khuda Wandi

Maiiri maa maira fakhar hai or maira Baap maira gharoor

Meri maa mairi manzil hai or maira Baap maira rastaa

ShArArTi MuNdA 03-25-2009 08:21 AM

~~ Maa ro Pari ~~


Aankho me apne aansuon ko rokti hui..
Maa ro pari maathe ko meray choomti hui




Aab kitney din raho gay, mere paas tum yahan
thakti nahi hai mujh se wo yeh, poochti hui




Rehti hai jaagti who, meri neend key liye
Mai theek to hoo… har waqt yahi sochti hui..




Kehti hai kaise kat-ti hai, pardes main teri
ankhon se behte ashqo ko poochti hui




Aankho me apne aansuon ko rokti hui..
Maa ro pari maathe ko meray choomti hui

ShArArTi MuNdA 03-25-2009 08:43 AM

Mujh ko ik baar to kehney dey muhabbat hey mujhey
dekhna tujh ko muhabbat se ibadat hey mujhey

terey chehrey mein hee kaabey ki ziarat hey mujhey
terey qadmo'n taley jannat ki basharat hey mujhey

meri dunya mein teri kitni zarort hey mujhey
teri dori hey mujhey hashr qayamat hey mujhey

mein terey lams ki har baat samjh leyti hon
teri khamosh nigahi bhe sama'at hey mujhey

bheer mein dunya ki ik khoi bachi hon
dhond kar roti hon tujh ko ,bari wehshat hey mujhey

choomna hath terey ,lab ki riyazat hey mujhey
mera sar goud mein rakh ley k , thkawat hey mujhey

janey mehshar mein terey naam se kia kuch na miley
ik terey ziker se dunya mein ye ijzat hey mujhey

mere sar pe tera saya nahi hey jannat hey
teri takhleq hon, ye baa'is-e-rehmat hey mujhey

meri kotahiyon ko hans k jheelti kiun hey
mujh ko ik baar to kehney de nadamat hey mujhey

teri hasti se meri saans k sab rabtey baney
tera hona mere honey ki zamanat hey mujhey

bnd mutthi mein utri hey wo khoshbo ban kar
teri ungli ko pakarney ki jo aadat hey mujhey

mera izhar-e-muhabbat hey muhabbat hey mujhey ,
mujh ko ik baar to kehney dey muhabbat hey mujhey

ShArArTi MuNdA 03-25-2009 08:59 AM

Mujhay raat gay tak bahir rahnay per rokti rahti thi
Main us ki baatain sun kar hansi say uchaal data tha
Kal say jaldi aaon ga kah ker taal data tha
Who mujhay deekh kar muskra dati thi
Aur pyaar say maar bhi dati thi
Main usay bohat satata tha bohat nakhray deekhata tha
Who her baar meray naaz uthati thi
Who meray sadkay wari jati thi
Raat kay kisi pahar bhi ghar jo aata us ko apna muntizar pata
Din raat us kay pyaar ki barsat hoti
Us ki duyain hameesha meray saath hotin
PER AB
Zindagi main who baat nahi hai
Kyu kah who meray saath nahi hai
Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai
Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai
Ghar jab loton who nigahain dhoondta hon
Sama jaon jin main who bahain dhoondta hon
Un jaghoon ko deekhta rahta hon jahan beth kay who mera intzaar karti thi
Main ghantoon apna chahra deekhta hon jahan who mujhay pyaar karti thi
Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hon
Her kadam her rastay per thoker khata hon
Maa to meray liay khuda ki soorat hai
Tu lout aa kah mujhay abhi teri zaroorat hai
Main ghar jaldi lout aaon ga Khuda kasam tujhay kabhi na sataon ga
Teri khidmat sobha shaam karon ga jo kahay gi wo her kaam karon ga
Meray kaan phir say muntazir hain ek baar phir wo lori suna day
Ek arsa hua main soya nahi
Tu apni goud main mujhay sula day
Kaash kabhi aisi duaain na martin
Kaash kisi ki maaien na martin.....

Jhuki Palkein 03-25-2009 04:38 PM

Nice Thread Munda Jee,. And Great Collection!

Keep It Up!

I Will Share Something Soon :)


All times are GMT +5. The time now is 05:10 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.