![]() |
Ιήtaκhααβ -ε- Μahi
http://i60.tinypic.com/2igy89x.jpg Ιήtaκhααβ -ε- Μαh! '' M i z a a j '' http://i57.tinypic.com/2iuumo.jpg Nazar ka apna mizaaj thehra Jigar ka apna mizaaj thehra Safar ka apna mizaaj thehra To ghar ka apna mizaaj thehra Hum...Safar kay rahay na ghar kay rahay Hamara apna mizaaj thehra Hamari Mei ka mizaaj apna Hamari lae ka mizaaj apna Hamari aankhoon kay khuwaab apnay Dard apnay azaab apnay Meray lahoo rang gulaab apnay Sawaal apnay, Jawaab apnay Hamaray aangan main chalnay wali HAWA ka apna mizaaj thehra Hamaray seenay main jalnay wali WAFA ka apna mizaaj thehra Kisi ki choukhat pay jhuknay wali ANAA ka apna mizaaj thehra Hamaray sajdoon ko gin’nay walay KHUDA ka apna mizaaj thehra Ajab riwajoon, Ajab mizajoon kay iss nagar main Tumhara apna mizaaj thehra, Hamara apna mizaaj tehra Mahi Ye Shair Kiu Na Hon Mouti Say Aabdaar Is Fan Mein Ki Hai Main Nay Bohat Dair Jaan-Kani |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Very nice thread Mahi
Pooray yaqeen k saath kaha jaa sakta hai k yahaan hum sab hi aap k aala zoq ki shaairi ko perh sakein gay Or aap hum sab hi ko apnay aala zoq k johar dikhaatay huway khoobsoorat shaairi say mustafeez karein gi :) |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Darya-e-yaad hum ne utterne nahi diya Us naam wala phhool bikherne nahi diya Hum ko na kerni ayee bsar saleeqay se zindagi Aur zindagi ke shoq ne marne nahi diya Kachhe ghad'ey ka kachha sahaara na dhoondiye Is ne kisi ko paar utterne nahi diya Jab us ko bhoolna hai to itna bhi rakh kiu Dil ne uss gali se phir guzerne nahi diya Woh qatra qatra dil peh baraste hain roz-o shab Jin aansoon se aankh ko bharne nahi diya Ek a'as hai keh khwahishain baandhi hain jis ke saath Ek khuwaab hai jis ko bikherne nahi diya |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Thanks Owi Ab naye saal kii mohalat nahi milane waali Aa chuke ab to shab-o-roz azaabon waale Ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaan bolaty hain Ab kahaan loog muhabbat ke nisaabon waale Zinda rahane ki tamannaa ho to ho jaate hain Faakhtaaon ke bhii kirdaar uqaabon waale Na mere zakham khile hain na tera rang-e-hinaa Mausam aaye hii nahi ab ke gulaabon waale |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Raston ki Marzi hai Be-Zameen Logon ko Be-Qarar ankhon ko Bad-Naseeb Qadmon ko Jis Taraf bhi le jaye Raston ki Marzi hai Be-Nishan Jazeeron per Bad-Gumaan Shehron mai Be-Zuban Musafir ko Jis taraf bhi Bhatka dain Raston ki Marzi hai Rok dain ya barhne dain Thaam lain ya Girne dain Wasal ki Lakeeron ko Tor dain ya Milne dain Raston ki Marzi hai Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain Raston ki Marzi hai......... |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Beautiful Poetry Thankx For Shairing Mahi |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
V Nice
|
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Many thanks for visiting my thread Owi & Shayaan Keep visitng... Phir aaj jee main hai afsana-e-bahaar kahain… Chaman ko daar kahain aur gul ko khaar kahain… Teri wafa ka bharam hai per jee to chahta hai… k raaz-e-husn sar-e-bazam aashikaar kahain… Dil-e-udaas ko thori see a'as mil jaye… To sham-e-hijr ko hum shaam-e-intezaar kahain… Teri nazar ne chupaya hai ehl-e-dunya se… Wagrna log mere dil ko daaghdaar kahain… Tumhari deed ghazab hai ke apni haalat ko… Kabhi qaraar kahain aur kabhi khumaar kahain… Nazar k teer hain chookay pe farz-e-aashiq hai… k aaftaab, isay dil ke aar paar kahain… |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Chupke chupke gham khushi k bhes mein daakhil hua, Sai'karon kaanty chubhy,jab ek gul haasil hua! Khaak'e paa hun,khaak mein paida hua,pal b gaya, Kuch buzurgon ki dua,kuch aap he qaabil hua! Phir uthi hai maouj koi us nigaah-e-naaz mein, Phir wahaan dil doob jaayega,agar gaafil huaa! Maangane se kia mila? kis waasate arz-e-wafaa? Dil agar aaya kisi pe,khud hi daryaa dil huaa! Kis liye itna gumaan? kesy yeh tarz-e-guftugo? Kiu tera har lafz jaise nashtar-e-qaatil hua? Zeest k pan'nay palat'taa he raha,parh'ta raha, dil raha jaahil ka jaahil,yeh nah par qaamil hua |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray magar mai mutamien tha is liyey, tum saath thay meray meray zar k talabgaron ki nazrain is liye uthti theen k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray mai ek pathar ka gard alood but't tha un k mandar mai na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray kisi sy aur kia taied ki umeed mai rakhta wohi khamoosh thay jo mehram-e halaat thay meray main jin sholon mein jalta tha sayad tum bhi na samjhay mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmaat thay meray mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai sabhi rad ho gayey jitnay ilzamaat thay meray tasawor ban gia tasveer aakhir aik din isi ka khoaf tha mujh ko yehi khadshaat thay meray |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Falak Deta Hai Jinko Aish Unko Gham Bhi Hote Hain Jahaan Bajte Hain Naq’qare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain Gile Shiqwee Kahaan Tak Honge Aadhi Raat To Guzri Pareshaan Tum Bhi Hote Ho Pareshaan Ham Bhi Hote Hain Hamaare Aansuon Ki Aabdaari Aur Hi Kuch Hai Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahin Mit’ti Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Marvelous Poetry
Um Speechless Keep Shairing Mahi (y) |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
wo jin ko dunya sarahti rahi mera husn e intikhab kah kar
meri Zaat ke tukrey they Shaam tum tou jantey hona ??? : ) |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Nice one Shaam Rah ro-e-shehr-e-fana hon teray kis kaam ka hun ik bujhta sa dia hun teray kis kaam ka hun To rafaqat k Liay kisi aur ko chun lay Main to khud aabla pa hun teray kis kaam ka hun Tujh ko darkaar hain phoolon k mehaktay saaye Main to sehraa main khara hun teray kis kaam ka hun Ay parastaar-e-gul-e-tar tera rasta taktay taktay Shaakh pe sookh gaya hun teray kis kaam ka hun Tu bhee auron ki tarha mujh say kinara kar lay Saari duniya say bura hun teray kis kaam ka hun? |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Quote:
|
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
: )
yeh zeher kaha sei utar rahey hain hmmmmm mei kuch kahoo ? |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Beautiful Collection
Thankx For Shairing Mahi Aap K Nick Ki Terhan Aap Ka Intaykhaab Bhi Bay-haD Khoobsoorat Hai Keep Shairing Mahi |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Nyc sharing
|
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Many thanks for visiting abv Members ^ Woh baat kar jise phailaa ke mein ghazal keh loon Sunaa Woh shair jo main ne abhii kaha'a nahe? Keep visitng....... |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Woh na dur hai, na qaareeb hai Ye jo hijar hai, ye naseeb hai... Jo wisaal tha woh to khwaab tha Ye khyaal kitna ajeeb hai... Wohi ansuon mein duaaon mein Wohi dukh sukh mein kareeb hai... Jo main sochta hun keh sakun Mera harf harf rakeeb hai... Ye falak zameen ko samait le Mera dil bhi kitna gareeb hai... |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Superb Shairing Mahi
Hope K aap Isi Terhan Hum Sab Ko Apnay aala Zoq Say Lutf-andoZ Kerti Rahein Gi Keep shairing :) |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
dil gareeb nahi be meher hai waisey.....
janta hai per manta nahi ... |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Bahat khubsuraat intekhaaab humesha ke tarhaan hai .. assee hee likhtay raho .. khosh rahoO |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Thanks for liking ^ Hum bhi bahut ajeeb hain itney ajeeb hain k bas, Khud ko tabaa'h kar liya aur malaal bhi nahi Keep Visiting...... |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Tu mujhay ikhtiaar main lay lay Jeet lay mujh ko haar main lay lay Jis tarha koi lambay ranj k baad Neend lambay qarar maun lay lay Hay maza paas baithnay main magar Lutf kuch intizaar main lay lay Aa kai puranay zakhm ka badla ik he waar main lay lay . . . |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Tamaam raat ki tafkeer ka nateeja hai Ye shehr maazi ki tazkeer ka nateeja hai Nahi tha ba'es-e-tasleeb mera jurm magar Teri nigah main tehqeer ka nateeja hai Nahi hun qaid , magar phir bhe urr nahi sakta Kisi chupi hui zanjeer ka nateeja hai Main jhonpari main hoon or tu maken-e-mehel sara Ameer-e-sher ! yeh taqdeer ka nateeja hai Bhigo k rakh dia ashko'n main hum nay mehfil ko Gham-e-hayaat ki tafseer ka nateeja hai |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Quote:
acha acha : ) zabardast (y) |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Nyc .. !! Fanx Fa Sharing .. !! |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Very Nice Poetry Mahi
Keep Shairing |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Thanks All Shab-e-firaq ye ehsaas kis bala ka hai K dil chiragh hai aur samn'aa hawa ka hai Sabhi hain noha ba lab kon kis ka dukh baantay Yaha to jo bhi hai ek marsia wafa ka hai Isay to khair say be had shaoq-e-bakhia giri Magar sawaal merey zakham ki an'a ka hai Dar-e-qabool ko zid hai udhar k band rahay Magar yaha bhi kisay hoasla dua ka hai Tabeeb-e-dil hai, magar haal-e-dil say begana... Ajab haal merey dard ashn'a ka hai ! Chiraag-e-jaan hai salamat to kheriyat jaano K shab safar ki hai aur dasht karbala ka hai. |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Kahein tum apni qismat ka likha tabdeel kar layte To shayad hum bhi apna rasta tabdeel kar layte … Agar hum waqae kam hosla hotay mohabat mein Marz bharne se pehlay dawa tabdeel kar layte … Tumharay sath chalne per jo dil razi nahi hota Bohat pehlay hum apna faisla tabdeel kar layte… Tumhari tarah jeenay ka hunar ata to phir shayad Makan apna wohi rakhtay pata tabdeel kar layte… Judai bhi na hoti zindagi bhi saha'l ho jati Jo ek dusray se masla tabdeel kar layte… Bohat dhundla gaya hai yaadoon ki rim jhim mein dil sada Woh mil jata to hum bhi aaina tabdel kar layte… |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
shart e muhabbat hai andaaz e mehboob ke
aisa asaan nahi kudh ko tabdeel karna : ) |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Beautiful Shairing Mahi
Keep Shairing |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Thanks... Nazar main chahat badan main zulmat jamaal kitna ajeeb sa tha Main us ki chahat main ghar se nikla to haal kitna ajeeb sa tha Na mian ne us ko khutoot likhe na us ne meri panah chahi Dono ko apni be khudi par malaal kitna ajeeb sa tha Safar akele hi kat lo ge? jo main ne pocha to ro die wo Sawal kitna ajeeb sa tha jawab kitna ajeeb sa tha |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Zameen pay chal na saka, aasman sy bhe gaya Kata k par wo parinda uraan say bhee gaya Tabah kar gaey pakkay makaan ki khuwahish Main apnay gao'n k kachay makaan say bhee gaya Kisi k haath say nikla hoa wo teer hon main Hadaf ko choo na saka or kamaan say bhee gaya |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Muhabbat aik boorha Daivta hai Jisay nirvaan ka gham kha gaya hai Kabhi unn pattiyon ki bhi sada sunn Jinhain guldaan ka gham kha gaya hai Sulagti sochti insaan ki naslain Jinhain pehchaan ka gham kha gaya hai keep visting... |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
bohat khoob : )
|
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Very Nice
Thankx For Shairing Mahi |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
ZabardasT SharinG MaHi SisTa.....
|
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Thanks for visiting................ http://i57.tinypic.com/2zgzrcl.jpg Humne Kaati Hain Teri Yaad Mein Raatein Aksar Dil Se Guzri Hain Sitaaron Ki Baraatein Aksar Unn Se Poocho Kabhi Chehre Bhi Pare Hain Tumne Jo Kitaabon Ki Kiya Karte Hain Baatein Aksar Humne Unn Tund Hawaaon Mein Jalaaye Hain Chiraagh Jin Hawaaon Ne Ulat Di Hain Bisaatein Aksar Aur Tho Kaun Hai Jo Mujh Ko Tasalli Deta Haath Rakh Deti Hain Dil Par Teri Yaadein Aksar Haal Kehna Hai Kissi Se Tho Mukhaatib Hai Koi Kitni Dilchasp Hua Karti Hain Baatein Aksar |
All times are GMT +5. The time now is 07:49 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.