![]() |
Woh Naam Mera Hi Toh Hota Hai Haatheli par jise likhti mitati ho Woh naam mera hi to hai Mehndi jiske naam ki rachai hai tune Woh naam mera hi to hai Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai Woh naam mera hi to hai Dil pe tere jo naam likha hai Woh naam mera hi to hai Tere honthon pe jo kaanp raha hai Woh naam mera hi to hai Dhadkan mein jo teri gunj raha hai Woh naam mera hi to hai Apna naam jisse joda hai tune Woh naam mera hi to hai Tere naam ke bina jo adhura hai Woh naam mera hi to hai....... |
Chehray pe mere zulf ko phailaoo kisi din Kia rozz garajtay ho, baras jao kisi din Razon ki terha utro mere dill main kisi shab Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din Pairron ki terha husn ki barish main naha loon Badal ki terha jhoom k gher aoo kisi din Khushboo ki terha guzro mere dill ki galii se Phoolon ki terha mujh pe bikher jao kisi din Guzrain Jo mere gher se tu ruk jain sitaray Is terha meri raat ko chamkaoo kisi din Main apni her aik saans usi raat ko de don Ser rakh k mere seenay pe so jao kisi din..... |
Woh din jab hum saath raha karte the Saath hansa karte the, saath raha karte the Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera Woh pal woh din woh kal, bit gaya jaldi Jiski yaadon ne aankho mein nami bhardi Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera Tera woh ghussa tera woh pyar phir yaad aaya hai Dil ne aaj phir us yaadon ko dohraya hai Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera Dil ne un yaadon ko sambhala hai aaj bhi Tum mere saath nahi par dil mein ho aaj bhi Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera Yaad kar mujhe gar aankh teri bhar aaye to rona nahi Tujhe kasam hai meri, us waqt ki yaadon ko khona nahi Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera... |
na wo fiker hai na wo shairy na qalam mein wo tabo-taab hai main likhun to kaisay gazal likhun mera zehn zere-ataab hai jo chaman mein bad-khazan chali wo chaman ka husn bhileygaee na bahar misle bahar hai na gulab misle gulab hai jo naqab rukh se juda huee nigah-e-harees bhi waa huee mere dil ko jis ki talash thi ye wahee to jan-e-shabab hai jo na sajda-haaye khulose ho ussay sajda kahna hai kab rawa ke khulose hi to namaz hai ke khulose mein sawaab hai wahi intezaar ke rozo-shub wahi justaju hai wahi thakan meri zindagi bhi nesaab hai teri zindagi bhi nisaab hai mera humnawa mera humsafer sar-e-raah milta to hay mager na salaam hai na kalaam hai na sawaal hai na jawaab hai yahan aik lamha bhi jabr se kisi taur kam nahin dosto ke qadam qadam pa saleeb hai ke qadam qadam pa azaab hai naye jang ki naee aag phir kisi pal kahin na bharak uthay wo azaan-e-amn to day koi jo faridi kaar-e-sawaab hai... |
Katoon si chubhti hai Tanhai Angaroon si sulagti hai Tanhai Koi aa kar hum dono ko hunsa de Main rotii hoon rone lagti hai Tanhai Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai Main nahi sotii sone lagti hai Tanhai Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai Mar sI jatii hoon jab khone lagti hai Tanhai.... |
Sath roti thi mery,sath hasa karti thi, Wo larki jo mery dil mein basa karti thi !! Meri chahat ki talabgar is darja thi k wo, Musalay pe namazun mein dua karti thi, Ik lamhy ka bicharna bhi gira tha usko, Rotay huy mujhko khud sy juda karti thi, Mery dil mein raha karti thi dharkan ki tarah, Aur saaye ki tarah sath chala karti thi, Rog dil ko laga bethi anjany mein, Meri aaghosh mein marny ki dua karti thi, Baat kismat ki hai FARAZ !! Juda hogaye hum , warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi !! Warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi…….!!! |
Kitne haseen the who pal, Jinhe yaad karte hai hum har pal. Kise pata tha ke yeh bhi din aayenge, Jinme hum na tumhe payenge. Jeete the hum tab bhi aur jeete hain aaj bhi, Bas itna hai ke bhool gaye jeene ka maqsad hi. Khwaab tab bhi dekhte the , Khwaab aaj bhi dekhte hain, Bas itna hai ke inme aaj khud ko tadapta dekhte hain. Sham tab bhi hoti thi , Sham aaj bhi hoti hai, Bas itna hai ke suraj ki jagah khud ko doobta dekhte hain. Chand aur tare jab bhi the , Chand aur tare aaj bhi hain, Bas itna hai ke inki roshni me khud ko jalta dekhte hain. Humrahi tab bhi tha, Humrahi aaj bhi hai, Bas itna hai ke mera humsafar aaj tu nahi hai..... |
Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo Hum Ne Apni Har Saanss Per Naam Tera Likh Dia Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Dia Ishq Me Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar Jab Se Tum Ankhoon Me Aaye Jaagti Hai Ye Nazar Apny Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo.... |
Kabhi kuch baat kehdena or kehna chalo chhoro Kabhi kuch kehte - kehte keh dena chalo chhoro Yeh ada'ain tumhari khaas lagti hain na janay kyun Kabhi socha k keh dalun kabhi socha chalo chhoro Jatana bhi nahi aata keh yeh tumse kaisa rishta hai Tumharay sath chalta main, phir socha chalo chhoro Meri beqarari ka aalam kya hai kise jakar bataun main Tha ye socha tumko bataunga phir socha chalo chhoro Kha'hish hai yeh meri tumhain jee bhar kar daikun main Tumhari tasweer banata main, phir socha chalo chhoro Jo tum rooth jao gee to ghazal keh kar mana lunga Aisay jo manaoon to kehti ho achchha chalo chhoro Rahe gi ummeed jab tak yeh hamaray eik honay ki Dar hai tum keh na do ummeed ko chalo chhoro...... |
Agar roone ko ji chahe tu ham roo b nahi sakte Tume pa bi nahi sakte tumhe kho bi nahi sakte Khawahish hai ke dil ka ujhala pan har dam rahe qayam Magar ye daag-e-hijran hai jinhe dho bi nahi sakte Ajeeb sa khauf hai raaton main dil tanha musafir hai Jagaye khud ko na jaage ke ham soo bi nahi sakte Tumhara samna hote hi kia ho jata ham ko? Ke kuch kehna bi hai mushkil tu chup ho bi nahi sakte.... |
All times are GMT +5. The time now is 09:45 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.