MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   General Discussion (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=11)
-   -   can NET FRNDS be TRUE FRNDS? (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=27846)

DiE 09-23-2010 06:54 AM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
Diloon ki Emaratoon mai kaheen Bandagi nahi
Pathar ki Masjidoon mai Khuda dhondte hain loog


Strange
yaha to apni baat ko ehmiyat dilane k liye Taqareer ki ja rahi hain
net ho ya practical life khud achey bano aap ko sab ache milenge
n
Mahi according to u k dost dhondne se nahi qismat se milte hain

Such to keh doon magar is dour k insano ko
baat jo dil se nikalti hai buri lagti hai

to agar ghar beth kar RIZQ ka intizar kiya jaey to mumkin nahi k mil jaey jab tak talash na kiya jaey
Irshad hai " or tum ma'ash ki talash mai niklo "
beshak Allah hi daine wala hai
per Allah nai hi MEHNAT k liye kaha hai
same usi
tarah DOST qismat se nahi milte Dhondne se milte hain
buhat loog atey hain hamari zindagi mai hami parakhte hain unhen samjhte hain unhen
phir DOSTI ka name daite hain
agar kisi k parakhne ya samjhne mai ghalti ho to usey QISMAT ka name nahi diya jata
apni kam aqli kaha jata hai or ese log qismat k saharey bethey rehte hain
buhat ziada to nahi kahonga bus MAI or LAMS 10 years pehley NET per hi miley they but hamarey darmiyan net kam DOSTI ziada hai or inshallah rahenge
I wish k sab ko buhat achey DOST milen. Ameen
agar mairi baat kisi ko buri lagi to mai mozrat chahta hon


Mahi nvm plz

Truth Reveals 09-23-2010 05:00 PM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
Quote:

Originally Posted by ! CHeeKU (Post 714398)
Depends upon sincerety of either side .... though net pe dostian karna aaj kal bohat ajeeb si baat hai jab waise hi real life main itne dost hon to :s

Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhanay Wala,
Wohi Andaaz Hay Zalim Ka Zamanay Wala..

Kya Kahain, Kitnay Marasim Thay Humaray Us Say,
Wo Jo Aik Shakhs Hay, Moo'n Phair K Janay Wala..

Muntazir Kis Ka Hoo'n Tooti Howi Dehleez Pay Mein,
Kon Aye Ga Yaha'n, Kon Hay Anay Wala..

Tum Takallus Ko Ikhlaas Samjhtay Ho Faraz..
Dost Hota Nahi Har Hath Milanay Wala..



Depends Upon Sincerity & Nature.. Of both Sides..
Internet, Non-Internet.. Koi Masla Nai Jazak allah



Deewana 09-23-2010 11:47 PM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
Quote:

Originally Posted by Truth Reveals (Post 842393)


Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhanay Wala,
Wohi Andaaz Hay Zalim Ka Zamanay Wala..

Kya Kahain, Kitnay Marasim Thay Humaray Us Say,
Wo Jo Aik Shakhs Hay, Moo'n Phair K Janay Wala..

Muntazir Kis Ka Hoo'n Tooti Howi Dehleez Pay Mein,
Kon Aye Ga Yaha'n, Kon Hay Anay Wala..

Tum Takallus Ko Ikhlaas Samjhtay Ho Faraz..
Dost Hota Nahi Har Hath Milanay Wala..



Depends Upon Sincerity & Nature.. Of both Sides..
Internet, Non-Internet.. Koi Masla Nai Jazak allah





emm a fan of u for few things now

: )


M A H i 09-24-2010 01:16 AM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
Quote:

Originally Posted by DiE (Post 842312)
Diloon ki Emaratoon mai kaheen Bandagi nahi
Pathar ki Masjidoon mai Khuda dhondte hain loog


Strange
yaha to apni baat ko ehmiyat dilane k liye Taqareer ki ja rahi hain
net ho ya practical life khud achey bano aap ko sab ache milenge
n
Mahi according to u k dost dhondne se nahi qismat se milte hain

Such to keh doon magar is dour k insano ko
baat jo dil se nikalti hai buri lagti hai

to agar ghar beth kar RIZQ ka intizar kiya jaey to mumkin nahi k mil jaey jab tak talash na kiya jaey
Irshad hai " or tum ma'ash ki talash mai niklo "
beshak Allah hi daine wala hai
per Allah nai hi MEHNAT k liye kaha hai
same usi
tarah DOST qismat se nahi milte Dhondne se milte hain
buhat loog atey hain hamari zindagi mai hami parakhte hain unhen samjhte hain unhen
phir DOSTI ka name daite hain
agar kisi k parakhne ya samjhne mai ghalti ho to usey QISMAT ka name nahi diya jata
apni kam aqli kaha jata hai or ese log qismat k saharey bethey rehte hain
buhat ziada to nahi kahonga bus MAI or LAMS 10 years pehley NET per hi miley they but hamarey darmiyan net kam DOSTI ziada hai or inshallah rahenge
I wish k sab ko buhat achey DOST milen. Ameen
agar mairi baat kisi ko buri lagi to mai mozrat chahta hon


Mahi nvm plz

chill,
mene kab kaha k mere nazaeriye se aap b ittifaaq karein ?
all ppl have diff ways of thiking....
anyways thnx for drop ur comments.

DiE 09-24-2010 01:26 AM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
well nice thread
i wish u the very best in life

M A H i 09-24-2010 01:27 AM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
thnx
same to u

-|A|- 09-24-2010 02:05 AM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
DOSTI or net par ..Ik buhaat mushkil lakin buhat acha topic hai ..
JAB mein net pr dosti k pechay bhagta tha .. tou log mujhe chor k bhag jatay thay .. or ab mein dosti sy DOOR bhagta hon .. tou bhe log mujhe chor k bhag jatay hain .. NET pr trust bhe hai kyun k yahan bhaiyon sy bhe barh k dost milay hain .. or net pr kuch afsos bhe .. jiss nay .. buhaat say aisay log jo kuch he arsay mein aziiz hu gaye .. cheen bhe liyee hain .. Tou mein na net pr ilzaam laga sakhta hon or na he net ko buhaat SUCHAY dil sy tareef kr sakhta hon ..


M A H i 09-24-2010 02:08 AM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
hmmm...

SALMAN 09-24-2010 03:50 AM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
Quote:

agar kisi k parakhne ya samjhne mai ghalti ho to usey QISMAT ka name nahi diya jata
apni kam aqli kaha jata hai or ese log qismat k saharey bethey rehte hain
VERY NICE @DiE

itna to main kah sakta hoon ki 80% se zaayed pplz net par jhoot bolte hain

then bharosa ek dum se karna .. shayed bewaqoofi hogi

BAD ASPECTS OF NET-FRIENDSHIP

jaise ki Boys.. Girl ka nick rakhte hain
Age chhupate hain
Resident place ghalat batate hain
jo karte hain usse mukhtalif bataate hain
kuchh to bas time pass karte hain
kuchh log .. dost banate hain sirf personal cheezon ko jaanne ke liye
maine to aise log bhi dekhe hain.. Cam ka bhi misuse karte hain.. video recording karke apne friends mein share karte hain.. yahi nahi kabhi kabhi to mms bhi bana dete hain
Paltalk par ek tarf to Qraan Pak ki tilawat jaise azeem competition hote hain aur ek taraf Gaaliyon ka aamukhta...

GOOD ASPECTS OF NET-FRIENDSIP

You can learn how to make friend
you can learn other languages
you can get all types information by making good/Creative friends
even you can get next to real bro/sis
you can get real true friends

jaisa ki DiE ne kaha "Jaise aap hain waise PPLz aap ko milenge"
this statement is 100% True

"HumZulf baHumZulf Parwaz" ....... it is Persian Proverb
"The Man is Known by the Society He Keeps" ......... Shakespeare


wahh wahhh.. Great @DiE
Diloon ki Emaratoon mai kaheen Bandagi nahi
Pathar ki Masjidoon mai Khuda dhondte hain loog


According to Dushyant Kumar (Hindi/Urdu Poet of India)

Mazaaron se Duayen Mangte hain,
Aqeeday kis qadar Polay huye hain.
Ghazab hai sach ko sach nahi kahte woh,
Quraan o Upnishad Khole huye hain !!


* Polay (khokhlay) = empty
* Upnishad = Ved Books of Hindu Mythology


http://en.wikipedia.org/wiki/Dushyant_Kumar

LAMS 09-24-2010 04:37 AM

Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
 
mujhe bhi bolne ka moka dia jaey


All times are GMT +5. The time now is 02:50 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.