MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Members Poetry Collections (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=130)
-   -   My fav Poetry Collection....... (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=90745)

pakeeza 10-08-2012 03:28 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 
http://img225.imageshack.us/img225/3...0682260420.jpg



Chalo Ek Nazm Likhtay Hain

Chalo ek nazm likhtay hain
Kisi k naam kartay hain

Magar yeh sochna hai ab
K us mein zikar kis ka ho

k us mein baat kis ki ho
K us mein zaat kis ki ho

Aur yeh bhi farz kartay hain
K jis pay nazm likhtay hain

Humein us say muhabbat hai
Hamary saray jazbon ko

Bus uski hee zaroorat hai
Chalo ek kaam kartay hain

K hum jo nazm likhtay hain
Tumhary naam kartay hain

Tum hee unwaan ho is ka
Tumhara zikr hai is mein

Tumhari baat hai is mein
Tumhari zaat hai is mein...!!!

Kkashif 10-08-2012 04:09 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 
amazing collection paKeeZa........

pakeeza 10-08-2012 10:23 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 
Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray Thay
Kal Un Pe Aap Ka Aks Bhi Tha
Kal Badal Kalay Gehray Thay
Kal Chand Pay Lakhon Pahray Thay
Kuch Tukray Aap Ki Yaad Kay
Bari Dair Say Dil Main Thehray Thay
Kal Yaadain Uljhi Uljhi Thin
Aur Kal Tak Yeh Na Suljhi Thin
Kal Yaad Bohut Tum Aye Thay
KAL YAAD BOHUT TUM AYE THAY

pakeeza 10-08-2012 10:24 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 

Yeh tum se keh diya kis ne...
Kay tum bin reh nahi saktay...
Yeh dukh, hum seh nahi saktay...
Chalo, hum maan laitay hain...
Kay tum bin, hum buhat roye...
...
Ke raaton ko na soye...

Magar, afsos hai jana...
Kay ab kay tum jo louto gey...
Humain tabdeel paao gey...
Buhat mayoos hogey tum...

Kay agar poochhna chaho kay...
Aisa kyon kiya hum ne...
To sunn loo ghour se jana...

Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne…
Mohabbat chhour di hum ne…
Haan...
” mohabbat choour di hum ne

pakeeza 10-08-2012 10:25 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 
Sapnon men nahi milte, qisson men nahi milte
Roothe hen khyal ese, lafzon men nahi milte

Khushiyon ki si sachaei bunglon men nahi milti
Ikhlaas ke gul zaade gamlon men nahi milte

Tehreer na baarish ki, jumle na hawaaon ke
Sarsabz hawaale ab, patton men nahi milte

Hans hans ke wo ro dena, ro ro ke wo hans dena
Masoom taqaze ab bachon men nahi milte

Jo aap pe guzri he, auqaat nahi meri
Wo rog khudaon ke, bandon men nahi milte

Sab se hen juda, hum log zamane se
Jhooton men nahi milte, sachhon men nahi milte

pakeeza 10-08-2012 10:26 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 
Quote:

Originally Posted by Kkashif (Post 1639917)
amazing collection paKeeZa........



thnkuuuuuuuuuu sso muchh

pakeeza 10-08-2012 10:27 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 

Hoti hay tere naam se wehisht kabhi kabhi
Barhum hui hay yun bhi tabiyat kabhi kabhi

Aye dil kise naseeb yeh tofeq azteraab
Milti hay zindagi main yeh rahat kabhi kabhi

Tere karam sey aey almhusne aaferin
Dil ban gaya hay dost ki kalwat kabhi kabhi

Josh jannon main dard ki tagyanio k sath
Ashkoon main dhal gayi teri surat kabhi kabhi

Tere kareb reh k bhi dil mutmaheen na tha
Guzri hay muj pe yeh bhi qiyamat kabhi kabhi

Kuch apna hosh tha na tumara khayal
Yun bhi guzar gai shab_e_ ferkat kabhi kabhi

Aey dost hum ne tark_e_mohabbat k bawajood
Mehsoos ki hay teri zarorat kabhi kabhi!!!

pakeeza 10-08-2012 10:27 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 

Ho Raat Akeli Pichhle Pehar Aur Chand Gagan Pey Aa Jaaye
Tum Chand Ki Manind Tanhaa Ho Ye Baat Tumein Tarpa Jaaye

Kuch Khawaab Saja Kr Palkoon Pe Tum Chand Sey Batain Kar Lena
Hum Yaad Tumhein Tu Karte Hain Tum Yaad Humein Bhi Kar Lena



Kuch Baat Na Ho Jab Aesay Hi Num Ahkh Tumhari Ho Jaaye
Tum Baat Kahin Pe Karte Ho Dil Aur Kahin Pe Kho Jaaye

Zabt K Aisay Aalam Main Muskaan Laboo Pe Bhar Lena
Hum Yaad Tumein Tu Karte Hain Tum Yaad Humein Bhi Kr Lena
__________________

pakeeza 10-08-2012 10:28 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 
Mohabbat Mousamon Ki Qaid Sy Azad Hoti Hai
Sono Soraj Nikalne Ka Koi Mousam Nhi Hota
Abhi Bhi Yaad Aaye To Nigahain Bheeg Jati Hain
Porani Raakh Jalne ka Koi Mousam Nhi Hota

pakeeza 10-08-2012 10:29 PM

Re: My fav Poetry Collection.......
 

یہی وعدہ لیا تھا نا
ہمیشہ خوش ہی رہنا ہے،
لو دیکھو !دیکھ لو آ کے،
میری آنکھوں کو دیکھو تم،
یہ کتنی شوخ لگتی ہیں
میرے ہونٹوں کو دیکھو تم
ہمیشہ مسکراتے ہیں
کوئ بھی غم اگر آۓ
اسے ہنس کر سہا میں نے
میرے چہرے کو دیکھو تم
ہمیشہ پرسکون ہو گا
کیا تھا میں نے جو تم سے
وہ وعدہ کر دیا پورا
مگر اک بات ہے پیارے
کبھی جو وقت مل جاۓ
تو میری شاعری پڑھنا
تمہیں محسوس تو ہوگا
کہیں تلخی بھرا لہجہ
کہیں پہ سرد سا لہجہ
کہیں پہ درد کی جھیلیں
کہیں لہجہ کی کڑواہٹ
سنو ۔۔۔

میں خوش تو ہوں لیکن

میرا ہر لفظ روتا ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔


All times are GMT +5. The time now is 08:15 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.