![]() |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Laazim tha ki dekho mera rasta koee din aur
Tanha gaye kyoN ? ab raho tanha koee din aur Mit jaayega sar, gar tera patthar na ghisega HooN dar pe tere naasiyaa_farsa koee din aur Aaye ho kal aur aaj hee kehte ho ki jaaooN Aana ki hamesha naheeN, achchaa, koee din aur Jaate huve kahte ho, qayaamat ko milenge Kya khoob ! qayaamat ka hai goya koee din aur ? HaaN 'ei falak-e-peer, javaaN tha abhee 'aarif' Kya tera bigaData jo na marta koee din aur ? Tum maah-e-shab-e-char_dahum the; mere ghar ke Phir kyoN na raha ghar ka woh naqsha koee din aur ? Tum kaun se 'eise the; khare daad-o-sitad ke ? Karta malak_ul_maut taqaaza koee din aur ? Mujhse tumhaiN nafrat sahee, 'nayyar' se laDaayee BachhoN ka bhee dekha na tamaasha koee din aur ? Guzree na baharhaal yah muddat KHushee-naaKHush Karna tha, javaaN_marg ! guzaara koee din aur NaadaaN ho jo kehte ho ki kyoN jeete ho 'GHalib' Qismat meiN hai marne ki tamanna koee din aur ? |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Koee ummeed bar naheeN aatee
Koee soorat nazar naheeN aatee Maut ka ek din mu'ayyan hai NeeNd kyoN raat bhar naheeN aatee ? Aage aatee thee haal-e-dil pe haNsee Ab kisee baat par naheeN aatee Jaanta hooN sawaab-e-taa'at-o-zahad Par tabeeyat idhar naheeN aatee Hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hooN Warna kya baat kar naheeN aatee ? KyoN na cheeKHooN ki yaad karate haiN Meree aawaaz gar naheeN aatee DaaGH-e-dil gar nazar naheeN aata Boo bhee 'ei chaaraagar ! naheeN aatee Ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee Kuchch hamaaree KHabar naheeN aatee Marte haiN aarzoo meiN marne ki Maut aatee hai par naheeN aatee Kaaba'a kis muNh se jaaoge 'GHalib' Sharm tumko magar naheeN aatee |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Koee din gar zindagaanee aur hai
Apne jee meiN hamne THaanee aur hai Aatish-e-dozaKH meiN ye garmee kahaaN Soz-e-GHam haay nihaanee aur hai Baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN Par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai Deke KHat muNh dekhta hai naamabar Kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai Qaata-e-'amaar hai aksar nujoom Woh balaa-e-aasmaanee aur hai Ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam Ik marg-e-naagahaanee aur hai.....!! |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ?
Na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ? Woh apnee KHoo na choDenge, ham apnee waz'a kyoN badleiN ? Subak_sar banke kya poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ? Kiya GHam_KHwaar ne ruswa, lage aag is muhabbat ko Na laaye taab jo GHam ki, woh mera raazdaaN kyoN ho ? Wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra To fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN ho ? Qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam Giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaaN kyoN ho ? Ye kah sakte ho "ham dil meiN naheeN haiN" par ye batlaao Ki jab dil meiN tumhee-tum ho to aaNkho se nihaaN kyoN ho ? GHalat hai jazba-e-dil ka shikwa, dekho juRm kiska hai Na khiNcho gar tum apne ko kashaakash darmiyaaN kyoN ho ? Ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ? Hue tum dost jiske, dushman uska aasmaaN kyoN ho ? |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse
JafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai Ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse Woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee Ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse Udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai Na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse Sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee kya qayaamat hai Ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse Takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin Woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse Hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN zaKHmee Na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse Qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar 'GHalib' Woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse.....!! |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Jis bazm meiN too naaz se guftaar meiN aave
JaaN kaalbud-e-soorat-e-deewaar meiN aave Saaye kee tarah saath firaiN, sarv-o-sanobar Too iss qad-e-dilkash se jo gulzaar meiN aave Tay naaz-e-giraaN_maaygi-e-ashq baja hai Jab laKHt-e-jigar deeda-e-KHooNbaar meiN aave De mujhko shikaayat kee ijaazat ki sitamgar Kuchch tujhko maza bhee mere aazaar meiN aave Uss chashm-e-fusooN_gar ka agar paaye ishaara Tootee kee tarah aaeena guftaar meiN aave TaatoN kee zabaaN sookh gayee pyaas se, yaarab ! Ik aablaa_paa waadee-e-pur_KHaar meiN aave Mar jaaooN na kyoN rashk se jab woh tan-e-naazuk AaGHosh-e-KHaam-e-halqa-e-zunnaar meiN aave GHaarat_gar-e-naamoos na ho gar hawas-e-zar KyoN shaahid-e-gul baaGH se baazaar meiN aave Tab chaak-e-girebaaN ka maza hai, dil-e-naadaaN Jab ik nafas uljha huaa har taar meiN aave Aatish_kada hai seena mera raaz-e-nihaaN se De waaye ! agar maa'ariz-e-izhaar meiN aave GaNjeena-e-maa'anee ka talism usko samajhiye Jo lafz ki 'GHalib' mere ash'aar meiN aave.....!! |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?
Kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ? Raat din gardish meiN haiN saat aasmaaN Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ? Laag ho to usko ham samjaiN lagaav Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ? Ho liye kyoN naamaabar ke saath-saath ? Yaarab ! apne KHat ko ham pahooNchaayaiN kya ? Mauj-e-KHooN sar se guzar hee kyoN na jaaye Aastaan-e-yaar se uTh jaayaiN kya ? Umr bhar dekha kiye marne kee raah Mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ? Poochchte haiN woh ki 'GHalib' kaun hai ? Koee batlao ki ham batlaayaiN kya ? |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee
Meree wehshat, teree shohrat hee sahee Qata`a keeje na ta`alluq ham se Kuchch naheeN hai to `adaavat hee sahee Mere hone meiN hai kya ruswaaee ? Ei woh majlis naheeN KHalwat hee sahee Ham bhee dushman to naheeN haiN apne GHair ko tujh se mohabbat hee sahee Apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho ! Aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee Umr harchand ke hai barq-e-KHiraam Dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee Ham koee tarq-e-wafa karte haiN Na sahee ishq, museebat hee sahee Kuchch to de 'ei falak-e-na_insaaf Aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee Ham bhee tasleem kee KHoo Daalenge Be_niyaazee teree `aadat hee sahee Yaar se cheDa chalee jaay, 'Asad' Gar nahee wasl to hasrat hee sahee.....!! |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Ibn-e-mariyam huwa kare koee
Mere dukh kee dawa kare koee Shar'a-o-aaeen par madaar sahee Eise qaatil ka kya kare koee ? Chaal, jaise kaDee kamaaN ka teer Dil meiN 'eise ke jaa kare koee Baat par waaN zubaan kaT_tee hai Woh kahaiN aur suna kare koee Bak rahaa hooN junooN meiN kya kya kuchch Kuchch na samjhe KHuda kare koee Na suno gar bura kahe koee Na kaho gar bura kare koee Rok lo, gar GHalat chale koee RaKHsh do gar KHata kare koee Kaun hai jo naheeN hai haajat_mand ? Kiskee haajat rawa kare koee Kya kiyaa KHijr ne sikandar se Ab kise rehnuma kare koee ? Jab tavaqqo hee uTh gayee 'GHalib' KyoN kisee ka gila kare koee ? |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
Us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai Bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah Jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai Aur baazaar se le aaye agar TooT gaya SaaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai Be_talab daiN to maza usme siwa milta hai Woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai Unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq Woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai Dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ? Ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai Ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya Jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai Qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye Kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz Shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai Hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin Dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai.....!! |
All times are GMT +5. The time now is 07:06 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.