![]() |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Surkh aankhan or bheega lehja Daikh k usnay mujh say poocha sab theek to hai na ?? Han ..... bus yunhi Mousam badal raha hai na !!!! Ay meri anjaan mohobbat Tu kia jaanay Tere khayaal k kandhay pay sar rakh k kitna roi main Kiu raat na soii main.......... |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Amal ko tolnay walay baray darVaish hotay hain Khmoshi bolnay walay baray darvaish hotay hain Yahan par jhoot palta hay, yahan sab jhoot kehtay hain Yahan sach bolnay walay baray darvaish hotay hain Zamana barf ki sil ki tarha jab sard par ja'ay to uss par khoulnay walay baray darvaish hotay hain Wo darvaishi jo kohna umr main aa'ay, bhali laikin jawani rolnay walay baray darvaish hotay hain Anaa'on, nafrato'n, Khud gharzio'n kay thehray pani main Muhabat gholnay walay baray darvaish hotay hain |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Main sheesha houn magar ab tak salamat Wo path'thar tha, pighalta ja raha hay Meri aankhon ka jhukna or jhapakna Teri aankhon say milta ja raha hay Sma'at ban k meray saath hay wo Mera lehja sanwarta ja raha hay |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Mua'ttar, khushnuma, khushrang, musaffa , saaf suthray hain Tumharay dard k jo bhe saheefay hum pay utray hain Nahi kuch dekhtay suntay ... teri soorat, sada bin wo Teray aashiq bazahir aaj bhe andhay hain behray hain Ye mana loot laitay hain yahan hirso hawass dil ko Nahi lut'tay wo dil jin per teri yaadon k pehray hain |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Bahaoo jab ziada ho kinaray toot jatay hain K nazuk waqt main aksar saharay chuut jatay hain Gali main khailtay masoom bac'chon ki sadaa aaee Jab dhaga he kac'cha ho, ghubaaray chuut jatay hain Hamara tootna to ek mamooli sa qiss'sa hai Agar wo phair lein nazrain, sitaaray toot jatay hain Main jin halaat say guzra hun un halaat main aksar Bahut masoom, bahut baawasf pyaray rooth jatay hain |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Tu ........... Meri umr k samundar main zindagi ka Aakhri Jazeera hay ! |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
wah wah zabardasT SharinG.......
|
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha is liyey, tum saath thay meray meray zar k talabgaron ki nazrain is liye uthti theen k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray mai ek pathar ka gard alood but't tha un k mandar mai na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray kisi sy aur kia taied ki umeed mai rakhta wohi khamoosh thay jo mehram-e halaat thay meray main jin sholon mein jalta tha sayad tum bhi na samjhay mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmaat thay meray mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai sabhi rad ho gayey jitnay ilzamaat thay meray So Nice sis.......... |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
Bohat Khoob Mahi
Such Wonderful Poetry Keep Shairing |
Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
|
All times are GMT +5. The time now is 08:56 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.