![]() |
Re: My Fav Collection
Mujhey Yaad Koi Doa Nahi, Meray Humsafar Abi Soch Le Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahi, Maray Humsafar Abi Soch Le Abi Raasta Bi Hai Dhool Mein, Abi Fa'eda Bi Hai Bhool Mein Abi Mujh Ko Tujh Se Gilla Nah, Meray Humsafar Abi Soch Le Main Janum Janum Se Naraaz Hon, Main Janum Janum Se Udaas Hon Main Kahbi Bi Khull Ke Hussa Nahi, Meray Humsafar Abi Soch Le Tu Hai Khaab Khaab Pokarta, Meri Aankh Mein Nahi Ashk Bi Main K Muddaton Se Jia Nahi, Meray Humsafar Abi Soch Le Tujhay Khushbo'on Ki Hai Arzoo, Tujhay Roshni Ki Hai Justjoo Main Hava Nahi, Main Diya Nahi, Meray Humsafar Abi Soch Le Tujhay Aanso,on Ka Pata Nahi, Tujhay Rut'jagon Ka Gumaan Nahi Tujhay Iss Se Agay Pata Nahi, Meray Humsafar Abi Soch Le Kahin Chhoot Sakta Hai Darmiyan, Na Zameen Milay Gi Na Asmaan Tujhay Raastay Ka Pata Nahi, Maray Humsafar Abi Soch Le Mujhay Doondta Hee Phiray Ga Tu, Na Ji'ey Ga, Roz Maray Ga Tu Main Kabi Bi Ghar Pe Mila Nahi, Meray Humsafar Abi Soch Le Kaho! Loutna Hai Kabi Yahan, Meray Dard Sunn Meray Meharban Meray Pass Vaqat Zara Nahi, Maray Humsafar Abi Soch Le |
Re: My Fav Collection
SAKOOT E JAAN KA MATLAB BATADO Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana Ye saray pair poday tum bin Kai raat jagay hai Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana Bus I murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana Wo Jo I lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho Mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana HAIDER ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan, Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana.... |
Re: My Fav Collection
Wafa k qaid khano ma sazaen kb badalten hen Badalta dil ka mosam ha wafaen kb badalten hen libada orh kar gham k nikal jaten hen sahra ko Jawa aay na aay sadaen kab badalti hen Saron par dhoop ha gham ki dilon ma wahshaten kitni Hamary dil k sehra ke fazaen kab badalti hen Meri sari duaen tum se he mansoob thi sathi Muhabat ho agar sachi to duaen kab badalti hen koi paa kar nibhat ha koi kho kar nibhata ha Naey andaz hoty hen adaen kab badalti hen |
Re: My Fav Collection
Maghroor hi sahi mujey acha buhat laga woh ajnabi tou tha mager apna buhat laga rotha howa tha hans tou pera muj ko dekh ker muj ko tou iss qader bhi dalasa buhat laga sehra mein ji raha tha jo derya dili kai sath dekh jo ghor sai tou woh payasa buhat laga woh jis kay dam qadam sai thin basti ki ronkain basti ujer gai tou akela buhat laga lipta howa ho jesey kuhar mein jesey khazan ka chand melay libas mein b woh payara buhat laga resham pahan kai bi meri qimat na ber saki kadher bi uss k jisam pe mehnga buhat laga Mohsin jab aiyne pe mari sans jamm gai mujh ko khud apna akas bhi dundhala buhat laga |
Re: My Fav Collection
Ab Mery Pas Tum Aai Ho To Kiya Aai Ho Main Nay Mana Kah Tum Aik Paiker-e-Ranai Ho Chaman-e-Daher main Dobi Hoi Chaman Aarai Ho Talate-e-Meher Ho Firdoos Ke Barnai Ho Bint-e-Mahtaab Ho Gardo'n Say Utar Aai Ho Mujh Say Milny Main Ab Andaisha-e-Ruswai Hay Main Nay Khud Apny Kiye Ke Yah Saza Pai Hay Ab Meri Pass Tum Aai Ho To Kiya Aai Ho! Un Dino'n Mujh Pay Qaymat Ka Junoo'n Tari Tha sar Pay Sarshari-o-Ishrat Ka Junoo'n Tari Tha MahParoo'n Say Mohabbat Ka Junoo'n Tha Shaher Yaroo'n Say Raqabat ka Junoo'n Tari Tha Bistar-e-Makhmal-o-Sanjaab The Duniya Meri Aik Rangeen-o-Haseem Khuwab The Duniya Meri Kiya Suno Gee Meri Majrooh Jawani Ke Pukar Meri Faryaad-e-Jiger-e-doz Mera Nala-e-Zaar Shidat-e-Qarb Main Dobi HOi Meri Guftaar Woh Gudaz-e-Dil-e-Marhoom Kahan Say Laoo'n Ab Main Woh Jazb-e-Masoom Kahan Say Laoo'n Ab Mery Pass Tum Aaai Ho To Kiya Aaai Ho! |
Re: My Fav Collection
Nazar se door hota Ja raha hai kay woh majboor hota Ja raha hai ussey hum sey taghafal ka gilla hai Jo khud maghroor hota ja raha hai azzal sey rouh to apni thii ghayal badan bhi choor hota Ja raha hai Mohabbat jurm banti Ja rahi hai ajab dastoor hota Ja raha hai khuda jaaney teri aankhon mein kya hai kay dil majboor hota Ja raha hai mohabbat ka ahdhoora sa fasaana buhat mashhoor hota Ja raha hai |
Re: My Fav Collection
chaloo ab faisla ker lo k jo apni mohabat thi nasha tha woh jawani ka khumar utra to yeh jana mohabat youn nahi hoti jo mein nay khuwab dekhay thay ab in ki kirchiyan hi hain or zakhmi paon hain meray tumhara hum qadam rehna mujhay mumkin nahi lagta tumharay or meray darmiyan koi dewar ha shayd YEH hargiz gir nahi sakti tumhain woh log pyary hain jo mujh ko zahar samjhtay hain mujhay tum ab bhi pyaray ho mager ab moor aisa ha jahan itnay mukhalif hain tumhain yeh to pata ho ga mukhaluf simt chlnay say kabhi manzil nahi milti to phir kiyon waqt khootay ho chaloo ab faisla karlo chaloo ab faisla karlo....... ....... |
Re: My Fav Collection
Apne Ishq ki dastan sadaa adhuri rahi, Kuch unki aur kuch apni majburi rahi. Dur the to paas aane ki chahat to thi, Paas aakar bhi dilon me ek duri rahi. Ik hum the jinka har pal andhere me raha, Ik vo the jinki har sham sinduri rahi. Bahut dhundhe magar aaj tak vo ilfaz na mile, Jinke bina zindagi ki Ghazal adhuri rahi�� |
Re: My Fav Collection
EK TAAZA HIKAAYAT HAI (MY ALL TIME FAV) Ik taaza hikaayat hai Sun lo tau inaayat hai . . Ik shakhs ko dekha tha Taaron ki tarah hum ne Ik Shakhs ko chaha tha Apno ki tarah hum ne Ik shakhs ko samjha tha Phoolon ki tarah hum ne . . Woh shakhs qayamat tha Kiya uski karain baatein Din us k liye paida Aur uski hi theen raatein Kam milna kissi se tha Hum se theen mulaqatein . . Rang uska shahaabi tha Zulfon mein theen mekaarein Aankhain theen k jaadu tha Palkain theen k talwaarein Dushman bhi agar dekhain So jaan se dil haarein . . Kuch tum se woh milta tha Baaton mein shabaahat mein Haam tum sa hi lagta tha Shokhi mein sharaarat mein Lagta bhi tum hi sa tha Dastoor-E-Muhabbat mein . . Woh shakhs humain ik din Apno ki tarah bhoola Taaron ki tarah dooba Phoolon ki tarah toota Phir haath na aaya woh Hum ne tau buhat dhoonda . . Tum kiss liye chonkay ho? Kab zikr tumhara hai? Kab tum se taqaaza hai? Kab tum se shikaayat hai? . . IK TAAZA HIKAAYAT HAI SUN LO TAU INAAYAT HAI |
Re: My Fav Collection
Chand tanha hai aasman tanha Dil mila hai kahan kahan tanha Bujh gae aas chup gaya taara Thartharata raha dhuwan tanha Zindage kiya issi ko kehte hain? Jism tanha hai aur jaan tanha Hamsafar koi ager mile bhi kahin Donon chalte rahe tanha tanha Jalti bujhti roshni ke pare Simta simta sa ik makan tanha Raah dekha kare ga sadiyon tak Chor jaen ge yeh jahan tanha |
All times are GMT +5. The time now is 07:49 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.