![]() |
" Hai Umr-e-RavaaN In AankhoN Mein " Tha ishq jawaaN in aankhoN mein They khwaab ravaaN in aankhoN mein Milte huey dekha phir, un ko Phir, un ki judaai dekhi thi Tha zabt nehaaN in aankhoN mein Rehti thi dua in honToN par Milne ka gumaaN in aankhoN mein Phir, aas ko marte dekha tha Tha zabt jahaaN in aankhoN mein They ashk ayaaN in aankhoN mein Phir, jal k bujhe diye ashkoN k Phirta tha dhuaaN in aankhoN mein Ab waqt hua un baatoN ko Un subhoN ko aur un raatoN ko Mujh mein jo sulagta rehta ho Aaisa to nahi hai ab kucH bhi ! CHaai hai amaaN in aankhoN mein Par neend kahaaN in aankhoN mein...!!! |
Ab to kehte hain ye tanhaai se haare hue ham Gham hi ho jayeN hamare k tumhaare hue ham Ism-e-aa'zam sa koi apni zubaN par aya Aap ka naam lia charkh k taare hue ham Sirf hamraah-e-haqiqat to kaThin tha hona Safha-e-dehr pe khwaboN k sahaare hue ham Ishq mein eik zara maat hui hai ham ko Aaise baiThe hain k hain jaan bhi haare hue ham Wo to katraa k havadis hi nikal jate hain Varna har aan adam ko hain sidhaare hue ham Jaan dete hain kahiN hijr k maare hue log Sher likhte hain yahaN paaoN pisaare hue ham Aakhri daur-e-zamana hai or ab aaye hain Waqt-e-kohna ki sadaaoN k pukaare hue ham Koi dushvaar zubaN hain koi dushvaar sukhan Khaam, be-fikr dimaaghoN pe utaare hue ham Umr ******* ki nahi sirf shumar-e-shab o roz Eik jivan hain mohabat mein guzaare hue ham |
sehma sehma dara dara sa hay ye dil tere baad bujha bujha sa hay shab bhar teri yaad ne sonay na diya aao gay kisi roz ye gumaan gumaan sa hay is duniya main mukafat_e_amal bhi hay ab yaqeen aaya k khuda khuda sa hay tumharay baad wehshatoun ki zad main hoon tumhara haal bhi jaana bura bura sa hay mujh ko kehta hay takleef hogi na sooch mujhe us ko bhi mera kheyaal zara zara sa hay |
kabhi yaad aaon to poochna apne dil_e_nadaan se kaheen baith k akailay main tanha or aaram se, kise uns tha teri zaat se kise ishq tha tere naam se teri chah tha tera naseeb tha jo kabhi tujhe bhi aziz tha milay jo fursat gardish_e_aiyaam se to ye bhi poochna us ghar k dar_o_baam se yahan qaid jo ik shaks tha wo mar gaya kis k naam pe zara yaad kar k wo koun tha jise teri be rukhi ka gila natha k us ki wafaoon ka tere paas koi sila natha. jo jee outha tha tere lams se wo bikhar gaya tere gham se kabhi yaad aaon to poochna kaheen baith k akailay main tanha or aaraam se apne dil_e_nadaan se....!!! |
Kab talak dard k toofaaN ko samoeiN khud mein Ab ye aankhein hi baras jaayeN to kya acha ho Raaz dil ka sar-e-mehfil na ayaaN ho jaye Koi keh de, wo chalay jaaeN to kya acha ho Nahin maujood koi rah mein nishaan-e-manzil Raastay apne badal jaayeN to kya acha ho Toot kar ham to hain bikhre huay par dil nadaaN Ab bhi bole, "wo palaT aayeN to kya acha ho" Ab talak kis k liye seint seint rakhe hain Khwaab ye saare bikhar jaaeN to kya acha ho |
nice munna
bhot khub sab ek se bhar ke ek hai keep it up (y) |
Quote:
Heer jee Thanks for stoppin by on ma thread... aapki pasandeedgi ka shukriya :) |
good collection munda
|
Quote:
Arey MR aaap yahan welcome welcome :p Thanks MR for lykin it ;) |
yaar app ka collection aweSome hai Boss..!!
Keep shareing haan ..!! |
All times are GMT +5. The time now is 08:10 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.