![]() |
Re: Shair on Word "ANNA"
Quote:
Wow miss Ala :thumbsup: |
Re: Shair on Word "ANNA"
Har ek lamha naya ik imtehan hai, bohut na-meharban yeh aasman hai, Dilon per barf girti ja rahi hai, Badan ka tajziya bhi raiga hai, main us say baat karna chahti hon, batao to sahi woh ab kahan hai, Anaa ki rait shamil ho gayai hai, Hawa say guftugu ab raigan hai, Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha, Meri janib say itna badguman hai… |
Re: Shair on Word "ANNA"
thanks saira
|
Re: Shair on Word "ANNA"
u wc :) |
Re: Shair on Word "ANNA"
Ana Pay Chou'tt Lagay Bhi Tu Koun Dekhta Hay Dhowa Sa Dil Say Uthay Bhi Tu Koun Dekhta Hay Ujaar Ghar Kay Kesi Be-Sa?Dareechay Main Koii Charag Jalay Bhi Tu Koun Dekhta Hay... |
Re: Shair on Word "ANNA"
Roka Anna Ne Kawish-E-Besud Se Mujhe Us But Ko Apna Hal Sunane Nahin Diya |
Re: Shair on Word "ANNA"
انا پرست لوگ ہیں عجیب سے عجیب تر کوئی کہاں اٹک گیا کوئی کہاں اٹک گیا لگا دیا جنون کو مٹا دیا سکون کو کوئی کہیں بھٹک گیا کوئی کہیں بھٹک گیا انا پرست لوگ تو نہ جیت ہیں نا ہار ہیں انا پرست لوگ تو انا کا بس حصار ہیں انا پرستی چھوڑئیے حصار یہ بھی توڑئیے سکوں کی گر تلاش ہے خدا سے ربط جوڑئیے بشر کی کیا مجال ہے وہ ذرے کی مثال ہے یہ حق تو صرف اس کا ہے وہ صاحبِ کمال ہے |
Re: Shair on Word "ANNA"
Anaa pe chot parey bhi to kon dekhta hai dhuwan sa dil se uthey bhi to kon dekhta hai Hajoom e shahar se hat kar, hadood e shahar k baad wo muskura k miley bhi to kon dekhta ha |
Re: Shair on Word "ANNA"
MohabbaT Se Paish Aao tu Jaan Tak Qurbaan Kar Dain, Zidd Karo Gye , tu Hum Anaa Parasti Ki Inteha Rakhte Hain . ! |
Re: Shair on Word "ANNA"
ANNA ki Jang me Hum Jeet to Gaye Lekin
Phir uske baad boht deer tak Nidhaal rahein |
All times are GMT +5. The time now is 06:56 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.