![]() |
Re: -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
Greattttttttt Thread Jitne Bhi Alfaaz Tareef Mein Bayan Karon Kam Hain :bu: :good: :khob: Kuch To Bohat Hi Pasand Aye :dilll: Tu jo na ho to jaisay sab ko chup lag jaati hai Aapas mein kya baatein kertay raat, diya or main :dilll: Meri ghazlon ko jo perkho to talaatum in mein Hurf-der-hurf mager dasht baser sannaata :dilll: Main bhanwar ban k uter jaoon ga dil mein kehna Jis terhan kerta hai terweej-e-huner sannaata :dilll: Tor laaoon ga sitaaray bhi falak say aik din Ik zara zulf muqaddar ki sanwer jaanay day :dilll: Wafa k dasht mein thehroon ga saans laynay ko Phir apni laash uthaaoon ga Chala jaaoon ga :dilll: Chiraagh mujh mein hai yaa main chiraagh mein hoon ShihaaB Laga hua hai tamaasha idher udher mera ! :dilll: Naye aaghaaz mein hi hosla kiun tor bethay ho Jeet jaao gay tum sab kuch zara anjaam honay do ! :dilll: um ko jaanay kya ghum hai Her dam hanstay rehtay ho :dilll: Baalon mein meray phair k kuch dair ungliyaan Kuch naqsh dil ki rait per us nay bana diye :dilll: Us nay kamaal-e-shoq say dekha meri taraf Main nay to aaino k sab hi fun jala diye :dilll: Aai hai mout bhaag k jaaoon kidher ko main Aasaab us nay saaray k saaray thaka diye :dilll: Pairon pay sir-saraati hui chaandni k paas Dil nay kisi ki yaad k manzer bicha diye ! :dilll: Hum nay to mannaton k bhi dhaagay berha diye Jaa, ishq k mazaar pay ab tu cherha diye :dilll: Kaisay kahoon k kitna wo khul ker mila hai aaj Sherm-o-haya k saaray kabooter ura diye :dilll: Dash-e-wafa mein dekh, kahaan say kahaan talak Shoq-e-safar nay paaoon k chaalay berha diye :dilll: Hum nay kahay hein shair bhi phir hoslay k saath Kaandhay tum nay piyaar say jab thap-thapa diye ! :dilll: Jis k liye main likhta wohi jab nahi raha Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye :dilll: Her her qadam pay gir k sambhalta chala gaya Jeenay k us nay mujh ko saleeqay sikha diye :dilll: Ab muntazir hein hum haram-e-bay-shumaar k Ghum bhi to daynay waalay nay bay-intayha diye :dilll: Ik baar main nay yaar say poocha jo haal-e-dil Us nay zara sa hans k sitaaray gira diye :dilll: Us yaar k diye huway misray ki mouj mein Hum nay bhi logon shair chandd gun-guna diye :dilll: Main to samhaj raha tha jalein gay tamaam raat Laykin rahay hein saath kabhi bay-wafa diye :dilll: Un say kaheen na serd hui jab jigar ki aag Angaaray jo bachay thay, hum hi ko thama diye :dilll:. :good: Thanks 4 Sharing |
Re: -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
Thank You Miss Habib And Thankx Jigar |
Re: -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Thanks For Sharing Your Awesome Collection Keep Updating . . . |
Re: -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
Thank You So Much Mahi ! |
Re: -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
-:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:- To ye deewaangi kuch bhi nahi kya Mohabbat waaqai kuch bhi nahi kya Chalo maana k tum jee rahay ho Mager aamaadgi kuch bhi nahi kya Ye hum jo cheekhtay phirtay hein din bhar Ye such ye aagahi kuch bhi nahi kya Ye tu nay kya kaha ik baar phir keh Khumaar-e-khud-sari kuch bhi nahi kya Theher ker soch tu kya keh raha hai Shihaab us ki gali kuch bhi nahi kya ! |
Re: -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
Ye hum jo cheekhtay phirtay hein din bhar
Ye such ye aagahi kuch bhi nahi kya bohat khoobsurat owi |
Re: -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
nice.......
|
Re: -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
khobsorat thread n nice collection ....
Great (Y) |
All times are GMT +5. The time now is 03:49 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.