![]() |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Muddat huee hai yaar ko mehmaaN kiye hue.
Josh-e-qadah se bazm chiraaGHaaN kiye hue. Karta hooN jama'a fir jigar-e-laKHt-laKHt ko. Arsa hua hai daawat-e-mizhgaaN kiye hue. Fir waz'a-e-'ehtiyaat se rukane laga hai dam. BarsoN hue haiN chaak girebaaN kiye hue. Fir garm_naala haay sharar_baar hai nafas. Muddat huee hai sair-e-chiraaGHaaN kiye hue. Fir bhar raha hai KHaama-e-mizhgaaN ba_KHoon-e-dil. Saaz-e-chaman_taraazee-e-daamaaN kiye hue. Dil fir tawaaf-e-koo-e-malaamat ko jaai hai. Pindaar ka saman_kada weeraaN kiye hue. Fir shauq kar raha hai KHareedaar kee talab. Arz-e-mata'a-e-'aql-o-dil-o-jaaN kiye hue. DauDe hai fir harek gul-o-laala par KHayaal. Sad_gul_sitaaN nigaah ka saamaaN kiye hue. Fir chaahta hooN naama-e-dildaar kholna. JaaN nazr-e-dil_farebee-e-unwaaN kiye hue. Maange hai fir kisee ko lab-e-baam par hawas. Zulf-e-siyaah ruKH pe pareshaaN kiye hue. Chaahe fir kisee ko muqaabil meiN aarzoo. Soorme se tez dashna-e-mizhgaaN kiye hue. Ik nau_bahaar-e-naaz ko taaqe hai fir nigaah. Chehra furoGH-e-mai se gulistaaN kiye hue. Fir jee meiN hai ki dar pe kisee ke paDe rahaiN. Sar zar-e-baar-e-minnat-e-darbaaN kiye hue. Jee DhoonDta hai fir wohee fursat ke raat din. BaiTHe rahaiN tasavvur-e-jaanaaN kiye hue. 'GHalib' hameiN na cheD ki fir josh-e-ashq se. BaiTHe haiN ham tahayya-e-toofaaN kiay hue.....!! |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN.
Kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN. Kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ? Shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN. Taa fir na intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar. Aane ka 'ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN. Qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN. MaiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN. Mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam. Saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN. Jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale ? KyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ? MaiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se. Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN. Mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai. JaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN. Hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke. Hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN. LaakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka. LaakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN. Woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye. Jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN. Woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye. Jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN. 'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee Peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN.....!! |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
MeharbaaN ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt.
MaiN gayaa waqt nahiN hooN ke phir aa bhi na sakooN. Zauf meiN taanaa-e-aGHyaar ka shikwaa kyaa hai? Baat kuchh sar to nahiN hai ke uThaa bhi na sakooN. Zahar miltaa hi nahiN mujhko sitam_gar warnaa. Kyaa qasam hai tere milne ki ke khaa bhi na sakooN.....!! |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Maze jahaan ke apnee nazar meiN KHaak naheeN.
Siwaay KHoon-e-jigar, so jigar meiN KHaak naheeN. Magar GHubaar huve par hawa uDaa le jaaye. Wagarna taab-o-tavaaN baal-o-par meiN KHaak naheeN. Yeh kis bahisht_shamaail kee aamad-aamad hai ? Ke GHair jalva-e-gul rahguzar meiN KHaak naheeN. Bhala use; na sahee, kuchch mujhee ko raham aataa. Asar mere nafas-e-be_asar meiN KHaak naheeN. KHayaal-e-jalva-e-gul se KHaraab hai maikash. SharaabKHane ke deewar-o-dar meiN KHaak naheeN. Huwa hooN ishq ki GHaaratgaree se sharminda. Siwaay hasrat-e-taameer ghar meiN KHaak naheeN. Hamaare sher haiN ab sirf dil_lagee ke 'Asad' Khulaa ki faayda arz-e-hunar meiN KHaak naheeN.....!! |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
good shairing
|
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Cary Sary shairy aaj he kar li kal k liye nahe bachai lol :D anywz Very NyC sharin...!!! :) |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Quote:
|
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Quote:
Bachayee haina thoole sheee wo abhi post karoonga :D Thanks |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Ok Sab BAchi kuchi Send Kar Dyna Copy paste Cary :P |
Re: ~!~!~! Ghalib !~!~!~
Quote:
|
All times are GMT +5. The time now is 08:52 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.