MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Members Poetry Collections (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=130)
-   -   Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=61907)

M A H i 07-07-2011 02:39 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Kahein tum apni qismat ka likha tabdeel kar layte
To shayad hum bhi apna rasta tabdeel kar layte …

Agar hum waqae kam hosla hotay mohabat mein
Marz bharne se pehlay dawa tabdeel kar layte …

Tumharay sath chalne per jo dil razi nahi hota
Bohat pehlay hum apna faisla tabdeel kar layte…

Tumhari tarah jeenay ka hunar ata to phir shayad
Makan apna wohi rakhtay pata tabdeel kar layte…

Judai bhi na hoti zindagi bhi saha'l ho jati
Jo ek dusray se masla tabdeel kar layte…

Bohat dhundla gaya hai yaadoon ki rim jhim mein dil sada
Woh mil jata to hum bhi aaina tabdel kar layte…

Shaam 07-07-2011 04:25 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
shart e muhabbat hai andaaz e mehboob ke
aisa asaan nahi kudh ko tabdeel karna


: )

Owi 07-08-2011 07:45 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Beautiful Shairing Mahi
Keep Shairing

M A H i 07-14-2011 12:29 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Thanks...

Nazar main chahat badan main zulmat
jamaal kitna ajeeb sa tha
Main us ki chahat main ghar se nikla to
haal kitna ajeeb sa tha

Na mian ne us ko khutoot likhe
na us ne meri panah chahi
Dono ko apni be khudi par
malaal kitna ajeeb sa tha

Safar akele hi kat lo ge?
jo main ne pocha to ro die wo
Sawal kitna ajeeb sa tha
jawab kitna ajeeb sa tha

M A H i 07-14-2011 12:30 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Zameen pay chal na saka, aasman sy bhe gaya
Kata k par wo parinda uraan say bhee gaya

Tabah kar gaey pakkay makaan ki khuwahish
Main apnay gao'n k kachay makaan say bhee gaya

Kisi k haath say nikla hoa wo teer hon main
Hadaf ko choo na saka or kamaan say bhee gaya

M A H i 07-14-2011 12:31 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Muhabbat aik boorha Daivta hai
Jisay nirvaan ka gham kha gaya hai

Kabhi unn pattiyon ki bhi sada sunn
Jinhain guldaan ka gham kha gaya hai

Sulagti sochti insaan ki naslain
Jinhain pehchaan ka gham kha gaya hai


keep visting...

Shaam 07-14-2011 12:45 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
bohat khoob : )

Owi 07-15-2011 07:26 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Very Nice
Thankx For Shairing Mahi

Muntazir Nigahain 07-17-2011 10:36 AM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
ZabardasT SharinG MaHi SisTa.....

M A H i 07-20-2011 02:11 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Thanks for visiting................


http://i57.tinypic.com/2zgzrcl.jpg

Humne Kaati Hain Teri Yaad Mein Raatein Aksar
Dil Se Guzri Hain Sitaaron Ki Baraatein Aksar

Unn Se Poocho Kabhi Chehre Bhi Pare Hain Tumne
Jo Kitaabon Ki Kiya Karte Hain Baatein Aksar

Humne Unn Tund Hawaaon Mein Jalaaye Hain Chiraagh
Jin Hawaaon Ne Ulat Di Hain Bisaatein Aksar

Aur Tho Kaun Hai Jo Mujh Ko Tasalli Deta
Haath Rakh Deti Hain Dil Par Teri Yaadein Aksar

Haal Kehna Hai Kissi Se Tho Mukhaatib Hai Koi
Kitni Dilchasp Hua Karti Hain Baatein Aksar


All times are GMT +5. The time now is 05:04 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.