![]() |
log mohabbat ko ibadat ka naam dete hain
koi karta hai to ilzaam dete hain kehte hain ke pathar dil roya nahi karte to paharon se chashme kyun baha karte hain thanks |
wo jo roop zer-e-naqaab tha
usay dekhna mera khuwaab tha jo mila tha hijr ki shakal mein meri chahton ka azaab tha ye sawaal tha ke mila karo na mila karo ye jawaab tha jise dekh kar mein tarap utha teri ankh mein wo hijaab tha mere paas thi meri tishnagi tere paas jam-e-sharaab tha tera pyar tha meri shayri tera ishq meri kitaab tha thanks |
ajab chiragh hon din raat jalta hon faraz
mein thak gaya hon hawa se kaho bujha de mujhe thanks |
mohabbat na rahe to raha kuch bhi nahi karta ke itni teez andhi mein bacha kuch bhi nhi karta wo phir bhi mujhse rehta hai khafa na jane kyun mein jis ko dekh lene ke siwa kuch bhi nahi karta mujhe ab yaad rakhna wo gawara hi nahi karte jise mein yaad rakhne ke siwa kuch bhi nahi karta thanks |
thanks ayaz bhai
|
meri zindagi ko ek tamasha bana diya us ne
bhari mehfil mein tanha bitha diya us ne aisi kya thi nafrat usko is masoom dil se khushiyan cjura kar gham thama diya usne buhat naaz tha uski wafa pe kabhi humko mujhko hi meri nazroon mein gira diya us ne khud bewafa tha meri wafa ki kya qadar karta anmol tha mein khak mein rula diya us ne kisi ko yaad karna to uski fitrat mein shamil nahi hawa ka jhonka samajh kar bhula diya us ne thanks |
alfaaz ke jhoote bandhan mein
aghraz ke gehre pardon mein har shaks mohabbat karta hai halan ke mohabbat kuch bhi nahi sab jhoote rishte natay hain sab dil rakhne ki batein hain kab kon kisi ka hota hai sab asli roop chupate hain ehsaas se khali log yahan lafzoon ke teer chalate hain ek baar nazar mein aa ke wo phir sari umar rulate hain ye ishq-o-mohabbat mehr-o-wafa ye sab rasmi si batein hain har shaks khudi ki masti mein bas apni khatir jeeta hai thanks |
teri chahat mein hum zamana bhool gaye
tere baad kisi ko apnana bhool gaye phir laga sara jahan veerana hum ko jese chaman mein phool mehekna bhool gaye tum se mohabbat hai bataya sare jahan ko yehi baat tum ko batana bhool gaye hum ne mita diya jahan bhi likha tha naam tera magar apne dil se mitana bhool gaye wo juda huye hum se muskurate huye magar apni palkon se ansu hatana bhool gaye thanks ayaz bhai |
agar kabhi wo pal yaad aaye to lot aana
agar kabhi dil ki dharkan teez ho jaye to lot aana log aksar sath nahi dete dil walon ka paas reh kar bhi agar koi sath na de to lot aana na jane apki itni yaad kyun aati hai agar ye paigham pohnch jaye to lot aana thanks |
mohabbat hum ne ki jo ek khata ho gayi
ki wafa aur zindagi saza ho gayi wafa karte rahe hum ibadaton ki tarah phir ibadat khud ek gunaah ho gayi kitna suhana tha safar jab sath thay hum phir kya hua kyun manzil juda ho gayi koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi wo gaye to laga duniya fana ho gayi thanks |
All times are GMT +5. The time now is 07:33 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.