![]() |
Re: -:||:- John Elia -:||:-
Thankx For Visiting Dreamooo, Afghani Laila and Rooz
Keep Visiting Guys Thankx Ayaz For Making This Thread Sticky And Thankx For Shairing A Beautiful Poem Life Keep shairing |
Re: -:||:- Bay-Maani By John Elia -:||:-
-:||:- Bay-Maani -:||:- Hai meri zaat ik ziyaan ki dukaan Mujh ko apna hisaab kya maaloom Jab mujhay bhi nahi koi ehsaas Tum ko mera azaab kya maaloom Her kisi say bicher gaya hoon main Kon dil mein mera malaal rakhay Sheher-e-hasti ka ajnabi hoon main Kon aakhir mera khayaal rakhay Raayegaani hai zindagi meri Main to khud mein bhi raayegaan hi gaya Bay-gumaani si bay-gumaani hai Mujh say to khud mera gumaan bhi gaya Koi bhi mujh ko aasra na mila Main bhatakta raha hoon shehron mein Zindagi tishnagi ka deriyaa hai Hai faqat gard dil ki lehron mein Wasl k silsilay to kya ab to Hijr k silsilay hein bay-maani Koi rishta hi jab kisi say nahi Dil k saaray gilay hein bay-maani Roz-o-shab ab yunhi guzertay hein Koi qisaa ho jaan-o-jaanaa ka Kerb-e-bay-maajraai sehta hoon Kuch to ho maajra dil-o-jaan ka Her nafas hai kisi mufr ki talaash Mujh ko apnay hisaar mein lay lo Mera ab khud pay ikhtiyaar nahi Tum mujhay ikhtiyaar mein lay lo Meray ander bhi dil k derr waa hon Yaani meray bhi koi maani hon. |
Re: -:||:- Main Bhi Bohat Ajeeb Hoon By John Elia -:||:-
-:||:- Main Bhi Bohat Ajeeb Hoon -:||:- Haal ye hai k khuwaahish-e-pursish-e-haal bhi nahi Us ka khayaal bhi nahi apna khayaal bhi nahi A shajar-e-hayat-e-shoq, aisi khizaan raseedgi ! Poshish-e-berg-o-gull to kya jism pay chaal bhi nahi Mujh mein wo shakhs ho chukka jis ka koi hisaab tha Sood hai kya, ziyaan hai kya, is ka sawaal bhi nahi Mast hein apnay haal mein dil zad-gaan-o-dil-baraan Sulah-o-salaam to kaja, behus-o-jadaal bhi nahi Tu mera hosla to dekh, daad to day k ab mujhay Shoq-e-kamaal bhi nahi, khouf-e-zawaal bhi nahi Khaima-gaah-e-nigaah ko loot liya gaya hai kya ? Aaj ufaq k dosh per gard ki shaal bhi nahi Uffhhh ye fizaa-e-ehtiyaat, taa kaheen urr na jaayein hum Baad-e-junoob bhi nahi, baad-e-shumaal bhi nahi Wajha-e-muaash-e-bay-dilaan, yaas hai ab mager kahaan Us k wurood ka gumaan, farz-e-muhaal bhi nahi Ghaarat-e-roz-o-shab to dekh, waqt ka ye ghazab to dekh Kal to nidhaal bhi tha main, aaj nidhaal bhi nahi Meray zamaan-o-zaat ka hai ye muaamlaa k ab Subh-e-firaaq bhi nahi, shaam-e-wisaal bhi nahi Pehlay hamaaray zehan mein husun ki ik misaal thi Ab to hamaaray zehan mein koi misaal bhi nahi Main bhi bohat ajeeb hoon itna ajeeb hoon k bas Khud ko tabaah ker liya or malaal bhi nahi. |
Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
thanks for adding his images warna hum ko ain ke barey mei nahi pata tha really.
|
Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
Hazaron saal Nargis apni be-noori pe roti hai,
Badi mushkil se hota hai chaman mein didawar paida !! Thanks for creating this useful & Inspiring Post about Mr. John Elia http://www.urduwriters.com/wp-conten...3/Jon-Elia.jpg ![]() Attention(mujhe is baat par hairat aur sharm dono aati hain ki aap logon ko inka sahi naam bhi nahi pata hai aur na sahi spelling.. U have to know that the proper name has its dignity .. so please be respectful about proper names) |
Re: -:||:- John Elia -:||:-
Thankx for Visiting This Thread Salman
And Thankx For Shairing A Beautiful Ghazal Of Jhon aliya Keep Visiting And Shairing Too :) |
Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
Thnx 4 Sharing Bro
Aj 1st Time Inke Barey Me Parha Wese Naam Suna Hua Tha Acha Laga Thnx.. |
Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
Quote:
Itna kahne ke baad bhi aap ne name sahi nahi likha His name is "John Elia" (jo log sahi jaan kar bhi sahi nahi bante unko kya kahte hain??? U know it) |
Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
welcome Owi...
|
Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
Tum haqeeqat nahi ho hasrat ho -- Juan Elia tum haqeeqat nahi ho hasrat ho jo miley Khuwab maiN voh daulat ho tum ho Khushboo, ke Khuwab ki Khushboo aur itney he bai_murawwat ho tum ho pehloo maiN parr qarar nahi yani aisa hai jaisey furqat ho hai meri arzoo ke mere siva tumhaiN sab shaieerooN se vehshat ho kis tarah chood.r tumhaiN jaanaaN tum meri zindagee ki adat ho kis liye dekhtey ho aaina tum to khud se bhi Khoobsoorat ho dastaaN Khatam honey wali hai tum meri aaKhri mohabbat ho |
All times are GMT +5. The time now is 10:07 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.