MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Members Poetry Collections (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=130)
-   -   Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=61907)

Owi 07-06-2011 08:33 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Superb Shairing Mahi
Hope K aap Isi Terhan Hum Sab Ko Apnay aala Zoq Say Lutf-andoZ Kerti Rahein Gi
Keep shairing :)

Shaam 07-06-2011 09:23 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
dil gareeb nahi be meher hai waisey.....


janta hai per manta nahi ...

RoOZ SoOChTa HouN 07-06-2011 11:20 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Bahat khubsuraat intekhaaab humesha ke tarhaan hai .. assee hee likhtay raho .. khosh rahoO

M A H i 07-07-2011 12:30 AM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Thanks for liking ^

Hum bhi bahut ajeeb hain itney ajeeb hain k bas,
Khud ko tabaa'h kar liya aur malaal bhi nahi


Keep Visiting......

M A H i 07-07-2011 12:37 AM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Tu mujhay ikhtiaar main lay lay
Jeet lay mujh ko haar main lay lay

Jis tarha koi lambay ranj k baad
Neend lambay qarar maun lay lay

Hay maza paas baithnay main magar
Lutf kuch intizaar main lay lay

Aa kai puranay zakhm ka badla
ik he waar main lay lay . . .

M A H i 07-07-2011 12:40 AM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Tamaam raat ki tafkeer ka nateeja hai
Ye shehr maazi ki tazkeer ka nateeja hai

Nahi tha ba'es-e-tasleeb mera jurm magar
Teri nigah main tehqeer ka nateeja hai

Nahi hun qaid , magar phir bhe urr nahi sakta
Kisi chupi hui zanjeer ka nateeja hai

Main jhonpari main hoon or tu maken-e-mehel sara
Ameer-e-sher ! yeh taqdeer ka nateeja hai

Bhigo k rakh dia ashko'n main hum nay mehfil ko
Gham-e-hayaat ki tafseer ka nateeja hai

Shaam 07-07-2011 02:59 AM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Quote:

Originally Posted by M A H i (Post 1104516)
Tu mujhay ikhtiaar main lay lay
Jeet lay mujh ko haar main lay lay

Aa kai puranay zakhm ka badla
ik he waar main lay lay . . .

are u serious ?


acha acha

: )



zabardast (y)

Sami 07-07-2011 06:04 AM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Nyc .. !!

Fanx Fa Sharing .. !!

Owi 07-07-2011 12:53 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Very Nice Poetry Mahi
Keep Shairing

M A H i 07-07-2011 02:34 PM

Re: Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
 
Thanks All


Shab-e-firaq ye ehsaas kis bala ka hai
K dil chiragh hai aur samn'aa hawa ka hai

Sabhi hain noha ba lab kon kis ka dukh baantay
Yaha to jo bhi hai ek marsia wafa ka hai

Isay to khair say be had shaoq-e-bakhia giri
Magar sawaal merey zakham ki an'a ka hai

Dar-e-qabool ko zid hai udhar k band rahay
Magar yaha bhi kisay hoasla dua ka hai

Tabeeb-e-dil hai, magar haal-e-dil say begana...
Ajab haal merey dard ashn'a ka hai !

Chiraag-e-jaan hai salamat to kheriyat jaano
K shab safar ki hai aur dasht karbala ka hai.


All times are GMT +5. The time now is 03:54 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.