![]() |
sab tera hai
teraa hii bahr safiinaa ravaaN bhii teraa hai bhaNvar bhii tere hain aur baadbaaN bhii teraa hai hai terii bazm men aaKhir kahaaN jagah meri icharaaG bhii hain tere aur dhuaAN bhii teraa hai mujhe to nazr bhii karane ko kuchh nahiin apana jabiin kii Khaak terii aastaaN bhii teraa hai naquush-e-paa ko uThaaye kahaa.N khaa.N jaa_uuN ki gard-e-rah bhii terii kaaravaa.N bhii teraa hai diyaa hai kyo.n mujhe lauh-o-qalam kaa baar-e-giraaN ki gardishen bhii terii aasmaaN bhii teraa hai bas ek kashaakash-e-benaam aur main bebas natiijaa bhii hai teraa imtahaaN bhii teraa hai main thak ke baiTh rahuuN yaa qadam baDhaaye chaluuN fanaa bhii terii hai naam-o-nishaaN bhii teraa hai |
kuch yaadein
Yunhi issay log mohabbat samajh baithay hain `Faraz` Woh shakhs mujhey jaan say pyaara hai aur bass……… AASTINON SE YEHI AIK SHIKAYAT HEI MUGE JAB BHI JHATKO TO KOI SAAMP NIKAL AATA HEI KISSI JAGA PE BUHAT DER TAK THEHAR NA SAKA DIL NE BHI SARI UMER KHANA BADOSHI KI HEI |
muje
Kitne Wo Itminan Se Thukra Gya Mujhe Aansoo Bana K Aankh Se Tapka Gya Mujhe Kesi Ye Rehbari Thi, Ye Kesa Fareb Tha Manzil Dikha K Rah Se Bhatka Gya Mujhe Khamosh Nigahon Se Kahani Suna Gya Lafzon K Hair Phair Main Atka Gya Mujhe Mujh Ko B Bachpan Ka Ik Mazaq Samjh Kar Chhoti Si Hansi Main Ura Gya Mujhe Do Din Main Us K Dil Se Muhabat Utar Gai Aor Do Hee Din Main Dil Se mita Gya Mujhe |
warna
Dil Ne Kaha Seene Mein Jo Dard Hai Dikha De Aaj Bahot Chup Baitha Hai Tu Kyu Gumsum Hai Aaj Tasavvur Hi Tha Uska Ke Qalam Bol Padi Aaj Teri Surkh Aankho Mein Hai Aks Adaa Ka Aaj Ek Muddat Se Neend Na Ayi Kuch Der So Lena Aaj Band Karke Apni Aankhe Kuch Ashq Baha Lena Aaj Mat Soch Ke Woh Dooor Hai Kitni Tujhse Aaj Teri Yadoon Se Bhi Woh Bahot Kareeb Hai Aaj Mehakti Hain Teri Saasain Uska Naam Le Lekar Aaj Maine Jaana Teri Saasoon Mein Hai Woh Adaa Aaj Bus Theher Ja Qalam Na Likh Tu Mera Dard Aaj Warna Zuba Yeh Kahegi Main Mar Gaya Aaj |
hamare jurm
Meri zubaa`n se meri daasta`n suno toh sahi Yakee`n karo na karo mehrbaa`n suno toh sahi Chalo yeh maan liya mujarim-e-muhabbat hain Hamare jurm ka hum se bayaa`n suno toh sahi Bano gay dost merey tum bhi dushmano`n ik din Meri hayaat ki aaho-fugaa`n suno toh sahi Labon ko see ke jo baithe hain bazme-duniya mein Kabhi toh unki bhi khamoshiyaa`n suno toh sahi |
ab k baar
Ab Agar Aayo To Jane Ke Liye Mat Aana, Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mat Aana, Maine Palko Pe Tamannaye Saja Rakhe Hai, Dil Mai Umeed Ki Soo Shame Jala Rakhi Hai, Yeh Hasi Shamme Bujhane Ke Liye Mat Aana, Ab Agar Aayo To Jane Ke Liye Mat Aana, Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mat Aana, Pyar Ki Aag Me Zanjire Phighal Sakti Hai, Chahne Walo Ki Takdire Badal Sakti Hai, Tum Ho Bebas Yah Batane Ke Liye Mat Aana, Ab Agar Aayo To Jane Ke Liye Mat Aana, Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mat Aana, Ab Tum Aana Jo Tumhe Mujhse Mohabat Hai Koi, Mu6jse Milne Ki Aagar Tumko Bhi Chahat Hai Koi, Tum Koi Rasam Nibhane Ke Liye Mat Aana. Ab Agar Aayo To Jane Ke Liye Mat Aana, Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mat Aana, |
gham mera ek rafeeq
dil iss qadar udaas bhi pehlay kabhie na tha
ghum mera ek rafeeq tow tha zindagi na tha bikhri huwee thi shehar main chehron ki baazghusaht jis shakhs ki talaash thi bus ek wohi na tha parhnay gaye thay umar e gureezaan k naqsh hum pohanchay jo uss jagaah tow wahan shehri hi na tha aayenah ban geya tha k dekhon kissi ka aks par zehan ki giraft main chehra koi na tha hum apni baywafaayee pe nadam huwaye aur uss jabeen pe ghum ka koi naqsh na tha |
uss ne kaha k mujh
us ne kaha k mujh se tumhain kitna pyar hai main ne kaha sitaroon ka koi shumar hai us ne kaha kon tumhain hai buhat aziz main ne kaha dil pe jisay ikhtyar hai us ne kaha kon sa tuhfa hai man pasand main ne kaha woh shaam jo ab tak udhaar hai us ne kaha khiza main mulaqat ka jawaz main ne kaha kurb ka matlab bahar hai us ne kaha k senkroon gham zindagi main hain main ne kaha gham nahi jab ghamgusaar hai us ne kaha mujh ko yakeen aaye kis tarah main ne kaha k naam mera Aitebar hai...!! |
kab kon kisi ka hota hai
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai Sab Jhotay Rishtay Natay Hain Sab Dil Rehknay Ki Batein Hain Sab Asli Roop Chupatay Hain Ahklas Se Khali Log Yahan Lafzoon Ki Teer Chalatay Hain Ik Baar Neghaoon Me Aa Ker Phir Sari umar Rulatay Hain Chalo Aao Jis Ne Dhoka Diya Aj Us Ko Bhool Hi Jatay Hain |
havaa ke zor sy
havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa pukaarate rahe mahafuuz kishtiyo.n vaale mai.n Duubataa huaa dariyaa ke paar utar bhii gayaa ab ehatiyaat kii diivaar kyaa uThaate ho jo chor dil me.n chhupaa thaa vo kaam kar bhii gayaa mai.n chup rahaa ki is me.n thii aafiyat jaa.N kii ko_ii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa sulagate sochate viiraa.N mausamo.n kii tarah ka.Daa thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa jo naam dil me.n rahaa zehan se utar bhii gayaa phaTii-phaTii hu_ii aa.Nkho.n se yuu.N na dekh mujhe tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii jahaa.N `Faraz` na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa |
All times are GMT +5. The time now is 03:51 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.