![]() |
Re: My Fav Collection
"Mujhay Aazad Kar Do Na" K Main Hoon Qaid Barson Say Judai Ki Aziyat Mein Zehar Bhar Day Gi Ye Zalim Duniya Meri Nazuk Tabiyat Mein Na Do Ab Hosla Mujh Ko Bata Do Raasta Mujh Jo.... Koi Bahir Niklanay Ka Hawa Mein Phir Say Urnay Ka Mujhay Us Dais Jana Hai... Jahan Panchhi Utartay Hain Jahan Mosam Badaltay Hain Meri Banjar C Aankhon Mein Meri Be-Taab Saanson Mein... Koi To Rang Bhar Do Na Mujhay Aazad Kar Do Na, Mujhe Aazad Kar Do Na. ---------- |
Re: My Fav Collection
Zaberdast Yar..
|
Re: My Fav Collection
Is Tarhan Nahi Kerte Rabta Tu Rakhte Hain Thora Milne Julne Ka Silsila RAkhte hain Manzilain Buland Houn Tu Mushkilain Bhi Aati Hain Mushkolun Se Larnay Ka Hosla Tu Rakhte Hain Jo Tumhare Apne Houn Tumse Pyar Kerte Hon Unka Haal Kaisa Hai? Kuch Pata Tu RAkhte Hain Muhabatun K Rishtey Ko Tortey Nahi Aisae Rooth Jane Walun Se Bhi Wasta Tu Rakhte Hain Choor Jane Wale Aksar Laut Ker Bhi Aatey Hain Laut Ker Who Aney Ka Rasta Tu RAkhte Hain |
Re: My Fav Collection
zindagi ki rahoon main log mil he jatay hain arzo k daman main phool khil he jatay hain miltay hain rafoo gar bhi chaak sil he jatay hain lehja jan gudaz magar tum sa dilnawaz magar hum ko yan nahi milta jiss ki naram baton main iss qadar halawat ho jiss k phool lehjay main jhankti sakhawat ho jiss k naam atay he koi khushboo dheeray say khal-o-khad me ghul jayay koi phool tehni pay be wajah khil jayay jiss k zikar kartay huay zofishan sitaray hon jiss nay rang-o-ahan k roop tak sanwaray hoon aoo sub say pehla kaam aj hum yeh kartay hian shiddaton ki gehrayi yeh khayal aur ranayi USS K NAAM KARTAY HAIN |
Re: My Fav Collection
............... Tujh se rabt itna, gham-e-shaam-o-seher apna hai aks tera hai magar deeda-e-tar apna hai jee meiN aaya to kabhii phoR hii daaleiN gey issay gair k haath ka pathar nahiiN, sir apna hai wehshat-e-jaaN kabhii fursat ho to iss simt bhii aa sheher se door sahii, dasht bhii ghar apna hai be'hajabana mile uss se to yeh bhed khula khalq ka khauff nahiiN hai, ussay darr apna hai woh jo manzil hai sir hadd-e-nazar terii hai yeh jo chehra hai pas-e-gard-e-safar, apna hai sach bhii kehte haiN magar jhoot kii ley meiN Mohsin kuch dinoN se yehii andaaz-e-hunar apna hai ...!!! |
Re: My Fav Collection
Meri Raahon Me Mat Aana Kabhi Aisa Nahi Karna Mujhe Aawaz Mat Dena Mujhe Ruswa Nahi Karna Agar Mujh Se Mohabbat Hai To Is Ki Laaj Rakh Lena Koi Teh`reer Mat Dena Koi Shikwa Nahi Karna Mujhe Tumse mohabbat Hai Me Ye Iqrar Karta Hoon Abhi Tash`heer Mat Karna Abhi Char`Cha Nahi Karna Mohabbat Sabar Ki Manzil Hai Isaar Ka Jazbaa Hai Mohabbat to Aamanat Hai Kahein Sodaa Nahi Karna Abhi Kuch Din Yonhi Rehna Meri Tumse Guzarish Hai Zara Dil Thaam Ke Rakho Isay MaiLa Nahi Karna |
Re: My Fav Collection
Sab se Chuppa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya Lehjey Sey Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhan Chehra Bata Raha Tha Kay Sab Kuch Ganwa Diya Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya Janey Kiya Usko Logoon Sey Thin Shikayaten Tanhayon Kay Dais Main Khud Ko Basa Diya Khud Bhi Woh Hum se Bicher Ker Adhura Sa Ho Giya Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya...!!! |
Re: My Fav Collection
Mere Humsafer, mere Hum-nasheen Main ne Rab se manga to kuch nahi Main ne jub bhi mangi koi dua! Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa" Ye talab kya k mera Khuda! Sabhi rahtain, Sabhi chahtain, Wo ata kre tujhe manzlain, Ye talab kya k mera Khuda! Tujhe Bakht de, Tujhe Taj de Tujhe Takht de, Mere Humsafer, Mere Chara-ger, Ye hai mohabbat ka khatan safer Mere sath chalna zra soch ker Zra dekh to mera hosla Mere paas jo bhi wo hai tera Nahi aur kuch bhi tere siwa Meri Dosti Meri Zindgi Meri Khamoshi Meri Be-basi, Mera Ilm bhi Mera Naam bhi, K meri Subha K meri Sham bhi K jo mil saken mere Daam bhi, Wo sabhi kuch tujh ko ata kre; Mere chara gr tu yaqin to kr Mujhe mangna to na aa ska Main ne phir bhi mangi yehi Dua K gwahi de ga mera Khuda Maine jub b us se talab kya! Nahi manga kuch bhi Mere Humsafer, mere Hum-nasheen Main ne Rab se manga to kuch nahi Main ne jub bhi mangi koi dua! Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa" Ye talab kya k mera Khuda! Sabhi rahtain, Sabhi chahtain, Wo ata kre tujhe manzlain, Ye talab kya k mera Khuda! Tujhe Bakht de, Tujhe Taj de Tujhe Takht de, Mere Humsafer, Mere Chara-ger, Ye hai mohabbat ka khatan safer Mere sath chalna zra soch ker Zra dekh to mera hosla Mere paas jo bhi wo hai tera Nahi aur kuch bhi tere siwa Meri Dosti Meri Zindgi Meri Khamoshi Meri Be-basi, Mera Ilm bhi Mera Naam bhi, K meri Subha K meri Sham bhi K jo mil saken mere Daam bhi, Wo sabhi kuch tujh ko ata kre; Mere chara gr tu yaqin to kr Mujhe mangna to na aa ska Main ne phir bhi mangi yehi Dua K gwahi de ga mera Khuda Maine jub b us se talab kya! Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa" |
Re: My Fav Collection
Tujhse To Koi Gila Nahe Hay Qismat Main Meri, Sila Nahe Hay Bichray To Najane Haal Kya Ho Jo Shaks Abhi Mila Nahe Hay Jeenay Ki To Aarzo He Kab Thi Marne Ka Bhi Hosla Nahe Hay Jo Zeest Ko Muotbar Bana De Aisa Koi Silsila Nahe Hay Khushbo Ka Hisaab Ho Chuka Hay Aur Phool Abhi Khila Nahe Hay Sarshari Rahbari Main Dekha Peechay Mera Qafila Nahe Hay Ek Thes Pe Dil Ka Phoot Bahna Chone Main Aabla Nahe Hay! |
Re: My Fav Collection
Kabhi tujh ko hansa daina bohat aasan lagta hai Kabhi khud ko rula daina bohat aasan lagta hai Kabhi aankhon kay pani say koi parda nahin rehta Kabhi har ghum chupa laina bohat aasan lagta hai Kabhi manzil kay badlay koch gawara bhi nahin hota Kabhi manzil ganwa daina bohat aasan lagta hai Kabhi teri rifaqat say nikalna hi nahin mumkin Kabhi daman chra laina bohat aasan lagta hai Kabhi koch silsilay yaadon kay sonay hi nahin daitay Kabhi unko bhula daina bohat aasan lagta hai |
All times are GMT +5. The time now is 08:28 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.