![]() |
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete, Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete. Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata, Khamosh Khare Hu Saza Kyon Nahi Dete. Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri, Gar Hai Tumhare Paas, To Dawa Kyu Nahi Dete. Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki waja Se, Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete. Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya, Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete. Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main, Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete. Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri, Thoda As Ese Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete. Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne, Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete. Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyu Nahi Det |
Gham-e-jaanaaN ko Gham jaane hu'e haiN Khirad vaale bhii diivaane hue'e haiN idhar aa ai Khushii, ai muKhbir-e-Gham tujhe ham Khuub pahchaane hu'e haiN bahut Khush haiN merii gustaaKhion par ba-zaahir jo buraa maane hu'e haiN Khudaa samjhaane vaaloN se bachaaye ham ab sach-much hii diivaane hu'e haiN maiN naa-vaaqif nahiiN dair-o-haram se ye viiraane mere chhaane hu'e haiN khaRe haiN mai-kade ke dar pe zaahid na jaane dil meN kyaa Thaane hu'e haiN daur meN zikr-e-muhabbat yaqiinan aap diivaane hu'e haiN |
wow zaberdast
|
v nice
|
very Nice
|
niceeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee
|
thx allz
|
Meri mohabbat ki koi misaal nahi hai Mai kaise kEh doon ki tu meri jaan nahi hai Mai giraftaar hoon teri mohabbat mein lekin Ek ye bhi sach hai tu mera imaan nahi hai Mai tumko padhta hoon tumko poojta hoon Har chehra tujh jaisa Aaina nahi hai Ae dil tu mujhe apne aaghosh mein le le Meri to khud apni koi pahchan nahi hai Tu jaan bhi maange to hans ke tujhe de doon DIL-e-MOIN mujhey jeene ka ab koi imkaan nahi hai |
Maanta hun ki zindagi bhi tadpati hai, Par mohabbat to jeena sikhati hai, Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi, Par mohabbat zindagi ban jaati hai. Zindagi ko to hum jab chahen, Maut ki oor khud le jaate hain, Par ek baar jo kar len ishq, Wo kahaan isko chod paate hain. Ye duniya kitni khudgarz hai, Ye mohabbat hume batati hai. Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi, Par mohabbat zindagi ban jaati hai. Mohabbat ek jaanlewa aadat hai, Jisme hoti shikwa-shikayat hai, Par aashiqon k liye to, Yahi unka khuda aur yahi ibadat hai. Wo mohabbat hi to hai doost, Jo jeevan ko haseen banati hai. Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi, Par mohabbat zindagi ban jaati hai. Mohabbat hi saathi aur tanhaai hai, Yahi hoti hansi aur yahi rulaai hai, Isi me hote kasme wade saare, Aur isi me hoti bewafai hai. Wo mohabbat hi hoti hai, Jab aankhon me koi samati hai. Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi, Par mohabbat zindagi ban jaati hai. Mohabbat me sab majboor hote hain, Kabhi paas to kabhi door hote hain, Par job hi ho jaye samaa, Wo ishq ke nashe me choor hote hain. Jab yaaden zannat ban jaati hain, To wo mohabbat kehlati hai, Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi, Par mohabbat zindagi ban jaati hai. Jab koi bediyon ko payal kar jaati hai, Har jhalak uski,kayal kar jati hai. Jab hota uska mehfil me aana, Uski har ada hume bas"ghayal"kar jati hai. Wo mohabbat ki daastan hai ki, Har saans me kisi ki khusboo aati hai, Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi, Par mohabbat zindagi ban jaati hai. Maanta hun ki zindagi bhi tadpati hai, Par mohabbat to jeena sikhati hai, Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi, Par mohabbat zindagi ban jaati hai. |
nice collection budd |
All times are GMT +5. The time now is 05:14 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.